Reciter: Nadeem Sarwar
War Kar Chukay Jab Rah E Haq Mein Asghar Ko
Tab Aye Khaimay Mein Sheh Rukhsat E Mukarrar Ko
Bayan Kaisay Karun Bey Kasi Key Manzar Ko
Thi Paish Manzil E Dushwar Ibn E Haider Ko
Koi Na Tha Jo Karata Sawar Sarwar Ko
Bithaya Ghorhay Py Hamsheer Nay Baradar Ko
Bithaya Ghorhay Py Hamsheer Nay Baradar Ko
Har Aik Bibi Ka Dil Gham Say Tha Tah O Bala
Na Koi Moonis O Yawar Na Goud Ka Pala
Koi Lipat’ti Thi Daman Say Karti Thi Nala
Kharhay Thay Sar Ko Jhukaye Huye Shah E Wala
Koi Na Tha Jo Karata Sawar Sarwar Ko
Bithaya Ghorhay Py Hamsheer Nay Baradar Ko
Bithaya Ghorhay Py Hamsheer Nay Baradar Ko
Buland Hoti Thi Khaimay Say Al Atash Ki Sada
Sakina Kehti Thi Maqtal Say Jald Ao Chacha
Kabhi Pukarti Koi Keh Aao Shair E Khuda
Madad Ka Waqt Hai Shabbir Ho Rahay Hain Juda
Koi Na Tha Jo Karata Sawar Sarwar Ko
Bithaya Ghorhay Py Hamsheer Nay Baradar Ko
Bithaya Ghorhay Py Hamsheer Nay Baradar Ko
Pukari Zainab E Muztar Kahan Ho Ay Akbar
Akela Faoj E Adoo Mein Chala Nabi Ka Pisar
Khabar Na Lo Gay Chacha Ki Ay Qasim E Muztar
Kahan Py Hai Mera Shair E Jari Wafa Paikar
Koi Na Tha Jo Karata Sawar Sarwar Ko
Bithaya Ghorhay Py Hamsheer Nay Baradar Ko
Bithaya Ghorhay Py Hamsheer Nay Baradar Ko
Yeh Noha Karti Thi Maqtal Mein Zainab E Kubra
Bachanay Wala Koi Meray Bhai Ka Na Raha
Guloo Bureeda Say Deta Tha Har Shaheed Sada
Milay Hayat To Phir Ho Hazar Bar Fida
Koi Na Tha Jo Karata Sawar Sarwar Ko
Bithaya Ghorhay Py Hamsheer Nay Baradar Ko
Bithaya Ghorhay Py Hamsheer Nay Baradar Ko
Kaha Hussain Nay Zainab Say Alwida Hamsheer
Bula Rahay Hain Paye Jang Say Yeh …..
Khayal Rakhna Sakina Ka Hai Bahut Yeh Sagheer
Muaaf Karna Jo Kar Day Kabhi Koi Taqseer
Koi Na Tha Jo Karata Sawar Sarwar Ko
Bithaya Ghorhay Py Hamsheer Nay Baradar Ko
Bithaya Ghorhay Py Hamsheer Nay Baradar Ko
Lajam Tham Ky Ghorhay Say Bolay Yeh Shabbir
Hamaray Sath Hai Zulm O Sitam Ka Tu Bhi Aseer
Safar Hai Akhri Tujh Par Mera Yeh Ay Dilgeer
Tu Hi Hai Moonis E Ghamkhuwar Mera Waqt E Akheer
Koi Na Tha Jo Karata Sawar Sarwar Ko
Bithaya Ghorhay Py Hamsheer Nay Baradar Ko
Bithaya Ghorhay Py Hamsheer Nay Baradar Ko
Imam E Waqt Say Jab Zuljanah Nay Yeh Suna
Zuban E Hal Say Woh Bey Zubaan Hua Goya
Huzoor Aap Py So Bar Meri Jan Fida
Zah E Naseeb Keh Yeh Farz Aap Nay Sonpa
Koi Na Tha Jo Karata Sawar Sarwar Ko
Bithaya Ghorhay Py Hamsheer Nay Baradar Ko
Bithaya Ghorhay Py Hamsheer Nay Baradar Ko
Main Janta Hun Keh Yeh Akhri Sawari Hai
Karun Jihad Yeh Khud Mujh Ko Bey Qaraari Hai
Sumon Say Lipti Hui Aap Ki Dulaari Hai
Meray Padar Ko Na Lay Ja Yeh Labb Py Jari Hai
Koi Na Tha Jo Karata Sawar Sarwar Ko
Bithaya Ghorhay Py Hamsheer Nay Baradar Ko
Bithaya Ghorhay Py Hamsheer Nay Baradar Ko
Anees Rukhsat E Akhir Ky Waqt Tha Mehshar
Koi To Peet’ti Thi Seena Koi Bibi Sar
Kabhi Pukarti Thi Apnay Pyaron Ko Ro Kar
Kahan Py Ho Zara Yeh Hal Dekh Lo Aa Kar
Koi Na Tha Jo Karata Sawar Sarwar Ko
Bithaya Ghorhay Py Hamsheer Nay Baradar Ko
Bithaya Ghorhay Py Hamsheer Nay Baradar Ko