Reciter: Ali Safdar

Haider Haider Haider Haider

Fatima Bint E Asad Barhti Hai Aik Aik Qadam
Aur Sajday Mein Giri Jati Hai Deewar E Haram
Fakhar Say Kehta Hai Yeh Khana E Kaaba Ka Hasham
Fakhar Say Kehta Hai Yeh Khana E Kaaba Ka Hasham

Madar E Shair E Khuda Aati Hai
Charo Janib Say Sada Ati Hai
Haider Haider Haider

Jab Bhi Kaabay Pay Nazar Jati Hai Haider Haider

Charo Janib Say Sada Aati Hai Haider Haider

Jab Bhi Kaabay Pay Nazar Jati Hai Haider Haider

Aaya Kis Shan Say Noor E Azali Kaabay Mein
Butt Giray Aa Gaya Waliyon Ka Wali Kaabay Mein
La Makan Dill Mein Ali Kay Hai Ali Kaabay Mein
La Makan Dill Mein Ali Kay Hai Ali Kaabay Mein
Aisay Tareekh Badal Jati Hai Haider Haider

Jab Bhi Kaabay Pay Nazar Jati Hai Haider Haider

Aaya Khaibar Ka Jo Maidan Woh Sab Bhag Gaye
Naam Kay Thay Jo Musalman Woh Sab Bhag Gaye
Tha Alam Ka Jinhen Armaan Woh Sab Bhag Gaye
Tha Alam Ka Jinhen Armaan Woh Sab Bhag Gaye
Aik Hasti Wahan Dat Jati Hai Haider Haider

Jab Bhi Kaabay Pay Nazar Jati Hai Haider Haider

Jab Barha Dast E Yadullah To Khaibar Ulta
Zulfiqar E Asad Ullah Nay Lashkar Ulta
Aik Marhab Tha Jo Do Ho Kay Barabar Ulta
Aik Marhab Tha Jo Do Ho Kay Barabar Ulta
Dono Tukrhon Say Sada Ati Hai Haider Haider

Jab Bhi Kaabay Pay Nazar Jati Hai Haider Haider

Maan Nay Bachpan Mein Sunaya Mujhay Haider Haider
Goud Mein Keh Kay Uthaya Mujhay Haider Haider
Loriyan Dy Ky Sulaya Mujhay Haider Haider
Loriyan Dy Ky Sulaya Mujhay Haider Haider
Maan Thapak Kar Mujhay Behlati Hai Haider Haider

Jab Bhi Kaabay Pay Nazar Jati Hai Haider Haider

Jo Hai Molai Ziyarat Ka Sharaf Pata Hai
Hath Khali Nahi Woh Farsh E Wila Lata Hai
Qabr Mein Shayer E Mola Ko Maza Ata Hai
Qabr Mein Shayer E Mola Ko Maza Ata Hai
Aik Mehfil Wahan Sajj Jati Hai Haider Haider

Jab Bhi Kaabay Pay Nazar Jati Hai Haider Haider

Pairaway Shah E Hijazi Yeh Ali Walay Hain
Ashiq E Hazrat E Ghazi Yeh Ali Walay Hain
Matami Aur Namazi Yeh Ali Walay Hain
Matami Aur Namazi Yeh Ali Walay Hain
Sab Say Rishta Mera Jazbati Hai Haider Haider

Jab Bhi Kaabay Pay Nazar Jati Hai Haider Haider

Sab Hi Haider Ky Mawali Hain Malak Aur Bashar
Ay Qamar Josh Say Jis Waqt Hain Parhtay Safdar
Samayeen Mil Kay Sabhi Kehtay Hain Haider Haider
Samayeen Mil Kay Sabhi Kehtay Hain Haider Haider
Manqabat Aisay Parhi Jati Hai Haider Haider

Jab Bhi Kaabay Pay Nazar Jati Hai Haider Haider

Urdu Lyrics

حیدر حیدر حیدر حیدر

فاطمہ بنت اسد بڑھتی ہے ایک ایک قدم
اور سجدے میں گری جاتی ہے دیوار حرم
فخر سے کہتا ہے یہ خانہ کعبہ کا ہشم
فخر سے کہتا ہے یہ خانہ کعبہ کا ہشم

مادر شیر خدا آتی ہے
چاروں جانب سے صدا آتی ہے
حیدر حیدر حیدر

جب بھی کعبے پے نظر جاتی ہے حیدر حیدر

چاروں جانب سے صدا آتی ہے حیدر حیدر

جب بھی کعبے پے نظر جاتی ہے حیدر حیدر

آیا کس شان سے نور ازلی کعبے میں
بت گرے آ گیا ولیوں کا ولی کعبے میں
لا مکاں دل میں علی کے ہے علی کعبے میں
لا مکاں دل میں علی کے ہے علی کعبے میں
ایسے تاریخ بدل جاتی ہے حیدر حیدر

جب بھی کعبے پے نظر جاتی ہے حید رحیدر

آیا خیبر کا جو میداں وہ سب بھاگ گئے
نام کے تھے جو مسلماں وہ سب بھاگ گئے
تھا علم کا جنہیں ارماں وہ سب بھاگ گئے
تھا علم کا جنہیں ارماں وہ سب بھاگ گئے
ایک ہستی وہاں ڈٹ جاتی ہے حید رحیدر

جب بھی کعبے پے نظر جاتی ہے حیدر حیدر

جب بڑھا دست ید اللہ تو خیبر الٹا
ذوالفقار اسد اللہ نے لشکر الٹا
ایک مرحب تھا جو دو ہو کے برابر الٹا
ایک مرحب تھا جو دو ہو کے برابر الٹا
دونوں ٹکڑوں سے صدا آتی ہے حیدر حیدر

جب بھی کعبے پے نظر جاتی ہے حیدر حیدر

ماں نے بچپن میں سنایا مجھے حیدر حیدر
گود میں کہہ کے اٹھایا مجھے حیدر حیدر
لوریاں دے کے سلایا مجھے حیدر حیدر
لوریاں دے کے سلایا مجھے حیدر حیدر
ماں تھپک کر مجھے بہلاتی ہے حیدر حیدر

جب بھی کعبے پے نظر جاتی ہے حیدر حیدر

جو ہے مولائی زیارت کا شرف پاتا ہے
ہاتھ خالی نہیں وہ فرش ولا لاتا ہے
قبر میں شاعر مولا کو مزا آتا ہے
قبر میں شاعر مولا کو مزا آتا ہے
ایک محفل وہان سج جاتی ہے حیدر حیدر

جب بھی کعبے پے نظر جاتی ہے حیدر حیدر

پیروئے شاہ حجازی یہ علی والے ہیں
عاشق حضرت غازی یہ علی والے ہیں
ماتمی اور نمازی یہ علی والے ہیں
ماتمی اور نمازی یہ علی والے ہیں
سب سے رشتہ میرا جذباتی ہے حیدر حیدر

جب بھی کعبے پے نظر جاتی ہے حیدر حیدر

سب ہی حیدر کے موالی ہیں ملک اور بشر
اے قمر جوش سے جس وقت پڑھتے ہیں صفدر
سامعیں مل کے سبھی کہتے ہیں حیدر حیدر
سامعیں مل کے سبھی کہتے ہیں حیدر حیدر
منقبت ایسے پڑھی جاتی ہے حیدر حیدر

جب بھی کعبے پے نظر جاتی ہے حیدر حیدر

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply