Reciter: Farhan Ali Waris
Di Sada Lash E Pisar Aan Kay Lay Jaa Bano
Chid Gaya Barchi Sy Akbar Ka Kalaija Bano
Nojawan Lash Py Pahunchy Jo Shehanshah E Umam
Lab Py Thi Nad E Ali Aur Larazty Thy Qadam
Ruk Ky Kehty Thy Isi Gham Mein Guzar Jaye Na Hum
Ay Mere Chand Judai Hai Teri Aur Sitam
Di Sada Lash E Pisar Aan Kay Lay Jaa Bano
Chid Gaya Barchi Sy Akbar Ka Kalaija Bano
Kya Jiye Jis Ka Jawan Laal Gaya Duniya Sy
Jis Ny Ek Roz Mein So Zakhm Kalaijy Py Sahy
Ashk Ankhon Sy Giry Aur Buka Karny Lagy
Noor Ankhon Sy Gaya Aur Kamar Mein Kham Hai
Di Sada Lash E Pisar Aan Kay Lay Jaa Bano
Chid Gaya Barchi Sy Akbar Ka Kalaija Bano
Bethty Hain Kabhi Rukty Hain Kabhi Chalty Hain
Aag Jo Gham Ki Lagi Sadmy Jigar Jalty Hain
Dard Bhi Sham Ky Saye Ki Tarah Dhalty Hain
Hath Ummed Ky Jany Ky Sabab Malty Hain
Di Sada Lash E Pisar Aan Kay Lay Jaa Bano
Chid Gaya Barchi Sy Akbar Ka Kalaija Bano
Kheench Li Seena E Akbar Sy Sinan Sarwar Ny
Ankh Sy Kar Diya Sailab Rawan Sarwar Ny
Shukar E Khaliq Bhi Kiya Aur Fughan Sarwar Ny
Apny Hathon Py Rakhi Lash E Jawan Sarwar Ny
Di Sada Lash E Pisar Aan Kay Lay Jaa Bano
Chid Gaya Barchi Sy Akbar Ka Kalaija Bano
Haye Toofan E Museebat Mein Kinara Bhi Gaya
Sath Abbas Ka Ghurbat Mein Tumhara Bhi Gaya
Sans Barchi Sy Tumhara Bhi Hamara Bhi Gaya
Haye Afsos Zaeefi Ka Sahara Bhi Gaya
Di Sada Lash E Pisar Aan Kay Lay Jaa Bano
Chid Gaya Barchi Sy Akbar Ka Kalaija Bano
Lut Gai Sari Kamai To Raha Kya Haye Haye
Mera Atthara Baras Wala Sidhara Haye Haye
Reh Gaya Main Bhi Sar E Dasht Akela Haye Haye
Mery Hathon Py Hai Akbar Ka Janaza Haye Haye
Di Sada Lash E Pisar Aan Kay Lay Jaa Bano
Chid Gaya Barchi Sy Akbar Ka Kalaija Bano
Gham Duniya Mein Koi Is Sy Barha Gham To Nahi
Ab To Mujhy Chand Sa Akbar To Mily Ga Na Kahin
Ho Gai Tang Tery Baad Pisar Mujh Py Zameen
Maan Teri Kaisy Jiye Kuch To Bata Maah E Jabeen
Di Sada Lash E Pisar Aan Kay Lay Jaa Bano
Chid Gaya Barchi Sy Akbar Ka Kalaija Bano
Gard Utha Hai Qadam Rukty Hain Dill Rota Hai
Ya Ali Keh Ky Junhi Jhukty Hain Dill Rota Hai
Lash Bety Ki Liye Chalty Hain Dill Rota Hai
Dekh Kar Ahl E Sitam Hansty Hain Dill Rota Hai
Di Sada Lash E Pisar Aan Kay Lay Jaa Bano
Chid Gaya Barchi Sy Akbar Ka Kalaija Bano
Mera Noha Hai Yeh Ashkon Ka Zubani Mazhar
Mar Gaya Shah Ka Woh Yousuf E Sani Mazhar
Woh Jawan Jo Tha Payambar Ki Nishani Mazhar
Marsiya Parhti Hai Ashkon Ki Rawani Mazhar