Reciter: Mesum Abbas
Hussain Hussain Hussain
Labbaik Labbaik Labbaik Labbaik
Emaan Ki Hararat Hai Azadari E Hussain
Islam Ki Hurmat Hai Azadari E Hussain
Insan Ki Zaroorat Hai Azadari E Hussain
Zainab Ki Amanat Hai Azadari E Hussain
Qadam Barhatay Raho Hussain Hussain
Alam Uthaty Raho Hussain Hussain
Charagh E Ashk E Aza Hussain Hussain
Yun Hi Jalaye Raho
Na Andhiyon Sy Daro Na Zalimo Sy Daro
Na Hadison Sy Daro Na Mushkilon Sy Daro
Alam Saja Ky Kaho Farsh E Gham Bicha Ky Kaho
Ali Ky Laal Sy Ehd E Wafa Nibha Ky Kaho
Tery Gharanay Sy Wafa Jari Rahy Gi
Mola Sada Teri Azadari Rahegi
Hum To Azal Sy Hi Azadar Hain Mola
Majlis O Matam Ky Talabgaar Hain Mola
Ankh Jo Duniya Mein Khuli Dekha Yeh Manzar
Ghar Mein Aza Khana Sajati Hui Madar
Wirsa Yeh Mila Gham Sath Raha
Yeh Ashk E Aza Matam Ki Sada
Hashr Talak Ab Yeh Talabgari Rahy Gi
Mola Sada Teri Aza Jari Rahegi
Tery Gharanay Sy Wafa Jari Rahy Gi
Mola Sada Teri Azadari Rahegi
Raahon Mein Julooson Ky Sabeelen Bhi Lagayen
Pani Bhi Azadaron Ko Sharbat Bhi Pilayen
Har Saal Teri Hazri Duniya Ko Khilayen
Bachon Ko Teri Yad Mein Saqqa Bhi Banayen
Khidmat E Aza Hai Qarz Barha
Hai Azm E Wafa Ho Sath Tera
Har Sal Moharram Ki Yeh Tayyari Rahy Gi
Mola Sada Teri Azadari Rahy Gi
Tery Gharanay Sy Wafa Jari Rahy Gi
Mola Sada Teri Azadari Rahegi
Yeh Ahl E Aza Shaan E Aza Aisay Barhayen
Har Waqt Azadari Hai Bar Waqt Namazen
Mumkin Hi Nahi Sajday Mein Jab Sar Ko Jhukayen
Ay Mola Hamen Sajday Tery Yad Na Ayen
Matam Bhi Tera Sajda Bhi Tera
Kaaba Bhi Tera Qibla Bhi Tera
Sath Namazon Ky Aza Jari Rahegi
Mola Sada Teri Azadari Rahegi
Tery Gharanay Sy Wafa Jari Rahy Gi
Mola Sada Teri Azadari Rahegi
Hum Ny Wilayat Ka Jab Iqrar Kiya Tha
Hum Ny Muhammad Sy Kiya Tha Yehi Wada
Apnay Sabhi Gham To Bhula Den Gay Magar Hum
Bhool Nahi Saktay Kabhi Majlis O Matam
Is Dil Ki Sada Har Dam Yeh Kaha
Seenon Mein Raha Sanson Mein Basa
Sanson Mein Har Dam Yeh Sada Jari Rahegi
Mola Sada Teri Azadari Rahegi
Tery Gharanay Sy Wafa Jari Rahy Gi
Mola Sada Teri Azadari Rahegi
Hussain Hussain Ya Mola
Hussain Hussain Ya Mola
Hum Nay Jo Bichaya Hai Yeh Farsh Aza Ka Hai
Sajjad Ki Khawahish Hai Zainab Ki Tamanna Hai
Yeh Ashk E Aza Kya Hai Bakhshish Ka Waseela Hai
Roomal Mein Zehra Ky Zeenat Yehi Banta Hai
Ankhon Sy Yeh Nehr E Aza Jari Rahe Gi
Mola Sada Teri Azadari Rahegi
Tery Gharanay Sy Wafa Jari Rahy Gi
Mola Sada Teri Azadari Rahegi
Hussain Hussain Ya Mola
Tehzeeb E Azadari Sikhatay Hain Azadar
Bachon Ko Alamdari Sikhatay Hain Azadar
Mimbar Sy Wafadari Sikhatay Hain Azadar
Behnon Ko Hayadari Sikhatay Hain Azadar
Naslon Mein Chalen Yeh Dars Tery
Hum Ny Jo Sunay Hum Ny Jo Diye
Yun Hi Dilon Par Teri Sardari Rahy Gi
Mola Sada Teri Azadari Rahegi
Tery Gharanay Sy Wafa Jari Rahy Gi
Mola Sada Teri Azadari Rahegi
Mola Yeh Taboot Alam Jhoola Amaari
Pani Ky Sabeelen Bhi Nishani Hain Tumhari
Dul Dul Ka Julooson Mein Safar Ab Bhi Hai Jari
Kuch Aur Nahi Bas Yehi Dolat Hai Hamari
Nisbat Sy Teri Ismat Yeh Mili
Bhoolen Na Kabhi Yeh Seena Zani
hum ny alam paya alamdari rahegi
Mola Sada Teri Azadari Rahegi
Tery Gharanay Sy Wafa Jari Rahy Gi
Mola Sada Teri Azadari Rahegi
Mesum O Mazhar To Yehi Kehty Rahen Gay
Mola Tery Gham Ky Sabab Jeetay Rahen Gay
Nohay Teri Yad Mein Hum Parhty Rahen Gy
Ankh Sy Yeh Ashk E Aza Behtay Rahen Gay
Bas Yeh Hai Dua Aye Jo Qaza
Ho Lab Py Saja Ek Naam Tera
Jaan Sy Barh Kar Yeh Hamen Pyari Rahy Gi
Mola Sada Teri Azadari Rahegi
Jan Hussain Jan Hussain Jan Hussain Jan
Tu Sab Ka Nigehbaan Hussain Jan Hussain Jan
Tu Natiq E Quran Hussain Jan Hussain Jan
Tu Deen Ki Pehchan Hussain Jan Hussain Jan
Zahra Ka Dil O Jan Hussain Jan Hussain Jan
Jan Hussain Jan Hussain Jan Hussain Jan
Tu Sabr Ki Deeewar Hussain Jan Hussain Jan
Tu Zabt Ki Talwar Hussain Jan Hussain Jan
Tu Kufr Py Yalghaar Tu Barsar E Paikaar
Hussain Jan Hussain Jan
Jan Hussain Jan Hussain Jan Hussain Jan