Reciter: Farhan Ali Waris
Hawayen Gumsum Har Soo Andhaira
Haye Woh Sham E Ghareeban
Jalti Zameen Pay Tifl Pareeshan O Hiraasan
Rawi Bayan Karta Hai Yun Gham Ka Majra
Draona Jungle Hai Raat Andhairi
Draona Jungle Hai Raat Andhairi
Sitaray Kuch Jhilmila Rahay Hain
Parhy Hain Raiti Pay Chand Lashay
Jo Apna Gham Aap Utha Rahay Hain
Drauna Jungle Hai Raat Andhairi
Sitaray Kuch Jhilmila Rahay Hain
Shikasta Hathiyar Kuch Parhay Hain
Yeh Log Shayad Yahan Larhay Hain
Larhay To Woh Hon Gay Jo Barhay Hain
Nazar To Bachay Bhi Aa Rahay Hain
Drauna Jungle Hai Raat Andhairi
Sitaray Kuch Jhilmila Rahay Hain
Drauna Jungle Hai Raat Andhairi
Haram Pay Kya Guzri Baad In Kay
Nahi Zaroorat Keh Koi Poochay
Jalay Huye Jo Parhay Hain Khaimay
Woh In Ka Lutna Bata Rahay Hain
Drauna Jungle Hai Raat Andhairi
Sitaray Kuch Jhilmila Rahay Hain
Drauna Jungle Hai Raat Andhairi
Yeh Log Hai Kon Khandan Kay
Jo Koi Poochay To Kis Say Poochay
Musafir Atay Hain Jo Idhar Say
Woh Raah Katra Kay Ja Rahay Hain
Drauna Jungle Hai Raat Andhairi
Sitaray Kuch Jhilmila Rahay Hain
Drauna Jungle Hai Raat Andhairi
Na Koi Murdon Pay Ronay Wala
Na Koi Zakhmon Ka Dhona Wala
Parinday Kuch Kar Rahay Hain Nala
Darinday Kuch Khak Urha Rahay Hain
Drauna Jungle Hai Raat Andhairi
Sitaray Kuch Jhilmila Rahay Hain
Drauna Jungle Hai Raat Andhairi
Parhay Hain Maqtal Mein Jitnay Lashay
Kisi Badan Mein Bhi Sar Nahi Hai
Sar Un Ky Katay Sitamgaron Nay
Woh Sar Haram Ko Dikha Rahay Hain
Drauna Jungle Hai Raat Andhairi
Sitaray Kuch Jhilmila Rahay Hain
Drauna Jungle Hai Raat Andhairi
Woh Aik Mastoor Ya Zaeefa
Utha Kay Hathon Mein Chaob E Khaima
Uthi Hai Dainay Haram Ka Pehra
Laeen Jin Ko Dara Rahay Hain
Drauna Jungle Hai Raat Andhairi
Sitaray Kuch Jhilmila Rahay Hain
Drauna Jungle Hai Raat Andhairi
Shifaat E Hashr Karnay Walay
Kahen Jo Woh Kar Guzarnay Walay
Ghayour Hain Yeh Woh Marnay Walay
Jo Hum Ko Ab Tak Rula Rahay Hain
Drauna Jungle Hai Raat Andhairi
Sitaray Kuch Jhilmila Rahay Hain
Drauna Jungle Hai Raat Andhairi