Reciter: Ahmed Raza Nasiri
Ay Bhai Abbas Ay Bhai Abbas Ay Bhai Abbas
Behan Kay Dill Ki Karay Khair Ab Khuda Ghazi
Zameen Pay Daikha Hai Girta Alam Tera Ghazi
Behan Kay Dill Ki Karay Khair Ab Khuda Ghazi
Dar E Khayam Pay Thehri Woh Baar Ha Aa Kay
Sawal Karti Hai Zainab Hussain Maula Say
Palat Kay Aaye Ga Khaimon Mein Kab Mera Ghazi
Behan Kay Dill Ki Karay Khair Ab Khuda Ghazi
Koi Bataye Yeh Ummul Baneen Ko Jaa Kar
Bureeda Hath Woh Chun Lay Zameen Say Aa Kar
Parhay Hain Bazu Kahin Par Kahin Gira Ghazi
Behen Ke Dil Ki Kare Khair Ab Khuda Ghazi
Lahu Mein Doobta Chehra Laga Kay Aankhon Say
Pukara Bhai Ko Aghosh Mein Liye Sheh Nay
Hussain Aye Hain Lenay To Sar Utha Ghazi
Behan Kay Dill Ki Karay Khair Ab Khuda Ghazi
Yazeedi Faoj Nay Ailaan Kar Diya Ran Mein
Akelay Ghair Kay Maro Hussain Ko Ban Mein
Khayam Loot Lo Zainab Ka Mar Gaya Ghazi
Behan Kay Dill Ki Karay Khair Ab Khuda Ghazi
Shikasta Pehloo Jo Zehra Ka Gar Nahi Hota
Bina Saharay Kay Ghorhay Say Tu Nahi Girta
Bureeda Shanon Ko Maan Deti Aasra Ghazi
Behan Kay Dill Ki Karay Khair Ab Khuda Ghazi
Teray Baghair Hamara Muhaal Hai Jeena
Chacha Say Keh Do Keh Pani Hamen Nahi Peena
Sakina Roti Hai Khaimon Mein Laot Aa Ghazi
Behan Kay Dill Ki Karay Khair Ab Khuda Ghazi
Qabeela E Bani Hashim Kay Shehsawar Tujhay
Khuda Say Manga Musallay Pay Ro Kay Zehra Nay
Ali Kay Waqt E Tahajjud Ki Tu Dua Ghazi
Behan Kay Dill Ki Karay Khair Ab Khuda Ghazi
Paraye Log Hain Bey Dard Yeh Zamana Hai
Abhi To Koofay Say Zainab Ko Sham Jana Hai
Uthi Nahi Hai Sinaan Par Abhi Rida Ghazi
Behan Kay Dill Ki Karay Khair Ab Khuda Ghazi
Sinaan Say Kaash Na Behnon Ko Bey Rida Daikhay
Sakina Khaye Tamanchay Na Bawafa Daikhay
Na Daikhay Bheerh Mein Abid Ka Sar Jhuka Ghazi
Behan Kay Dill Ki Karay Khair Ab Khuda Ghazi