Reciter: Farhan Ali Waris

Salle Alaa Ka Shor Utha Zehra Kay Gharanay Ki Yeh Khushiyan Hain
Mubarak Eid Mubarak Eid Mubarak

Eid Ay Hai Rajab Shaban Ki

Teen Pisar Hain Haider Kay
Teeno Rajab Mein Aaye Hain

Aamad E Baqar Hui Pehli Rajab Ko Marhaba
Panchween Aai Rajab Aaye Naqi Salle Alaa
Dasween Rajab Ko Aaye Taqi Kehtay Hain Jinhen Farzand E Raza
Yeh Tajalli Hai Dill E Imran Ki
Eid Ay Hai Rajab Shaban Ki

Eid Aai Hai Rajab Shaban Ki

No Rajab Ko Aaye Hain Asghar Ibne Shah E Huda
Aa Gaya Zehra Ky Gulshan Main Gul E Umme Rubaba
Teesray Babul Hawayej Ka Mila Jis Ko Khitab
Arsh Py Qudsi Jhoom Rahay Hain Aur Zameen Par Bu Turab
Jaan Hai Yeh Sayed E Zeeshan Ki
Eid Ay Hai Rajab Shaban Ki

Eid Aai Hai Rajab Shaban Ki

Terah Rajab Ko Aaye Ali

Woh Jahan Mein Aa Gaya Jo Ho Gaya Ghalib Laqab
Aamad E Bint E Asad Par Shaq Hui Deewar Shab
Khush Hua Kaaba Aur Payambar Bolay Abu Talib Kay Lab
Yeh Pisar Tasveer Hai Subhan Ki
Eid Ay Hai Rajab Shaban Ki

Eid Aai Hai Rajab Shaban Ki

Bibi Zainab Ki Wiladat Hai Pehli Shaban Ko

Shabbar O Shabbir Jaisay Bhai Ki Hamsheer Hai
Malka E Sharm O Haya Hai Waris E Tatheer Hai
Sham Mein Zehra Bat Mein Haider Azm Mein Yeh Shabbir Hai
Pehli Aayat Sabr Ky Quran Ki
Eid Ay Hai Rajab Shaban Ki

Eid Aai Hai Rajab Shaban Ki

Shaban Ki Hai Teesri Aur Amad Shabbir Ki

Rahib O Fitrus Pukaray Aa Gay Mera Sakhi
Arsh Say Jhoola Jhulanay Aa Gaye Jibreel Bhi
Rakib E Dosh E Ahmad E Mursal Fakhar E Khud Aur Fakhar E Ali
Yeh Khabar Hai Teesri Shaban Ki
Eid Ay Hai Rajab Shaban Ki

Eid Aai Hai Rajab Shaban Ki

Chothi Sahar Shaban Ki Aur Amad Abbas Ki

Goud Mein Lay Kar Ali Bolay Mera Akkas Hai
Yeh Dill E Zainab Dill E Shabbir Ka Ehsas Hai
Mainay Dua Mein Manga Tha Jis Ko Han Yeh Wohi Abbas Hai
Hai Sanad Allah Ky Ehsan Ki
Eid Ay Hai Rajab Shaban Ki

Eid Aai Hai Rajab Shaban Ki

Aai Thi Shaban Ki Saat Ibn E Hasan Qasim Kay Sath

Jab Liya Aghosh Mein Farwa Pukari Ay Khuda
Hoo Bahoo Baap Ki Soorat Yeh Mera Laadla
Meri Ibadat Meri Riyazat Ka Yeh Diya Hai Tu Nay Sila
Laaj Rakh Li Tu Nay Meray Maan Ki
Eid Ay Hai Rajab Shaban Ki

Eid Aai Hai Rajab Shaban Ki

Giarah Thi Shaban Ki Thi Wiladat Akbar Ki

Daikh Kar Is Chand Ko Woh Chand Bhi Sharma Gaya
Umme Laila Nay Kaha Lo Aa Gaye Phir Mustafa
Is Ky Husn Ka Khums Nikala Tab Yousuf Ko Husn Mila
Maang Lay Khair Zulaikha Jism O Jaan Ki
Eid Ay Hai Rajab Shaban Ki

Eid Aai Hai Rajab Shaban Ki

Mehdi E Doran Ki Amad Hai Pandrah Shaban Ko

Ay Khushak Ismat Zameen Par Aa Gaya Woh Maahtaab
Woh Ujaala Deen Ka Hai Janasheen E Bu Turab
Mazhar E Yazdan Ka Woh Mazhar Noor E Mujassam La Jawab
Laaj Rakhnay Aa Gay Yazdaan Ki
Eid Ay Hai Rajab Shaban Ki

Eid Aai Hai Rajab Shaban Ki

Ahl E Bait Ki Khushiyon Mein Saray Hussaini Shamil Hain

Aik Doojay Say Galay Mil Kar Mubarak Baad Do
Pehn Kay Kaprhay Naye Ghar Gahr Charaghan Bhi Karo
Saray Hussaini Mazhar Aur Farhan Ki Tarah Mill Ky Kaho
Eid Ay Hai Rajab Shaban Ki

Eid Aai Hai Rajab Shaban Ki

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply