Reciter: Syed Raza Abbas Zaidi

Raah Mein Naaqay Say Jab Gir Gaiin Choti Zahra
Goud Mein Aik Zaeefa Nay Usay Tham Liya
Sar Pay Jab Hath Rakha Ro Kay Sakina Nay Kaha
Jab Say Baba Say Main Bichrhi Hun Bahut Mara Gaya
Meray Galon Pay Tamanchon Kay Nishan Hain Bibi
Tum Nay Daikhi Hain Meray Jaisi Yateema Koi

Baat Jab Yeh Suni Woh Bhi Ronay Lagi
Phir Zaeefa Sakina Say Kehnay Lagi
Tum Say Pehlay Ek Yateema Aisi Bhi Thi

Han Tumharay Watan Mein Hi Rehti Thi Woh
Badshah E Madina Ki Beti Thi Woh
Baap Kay Baad Itnay Masayeb Parhay
Apnay Ghar Mein Saharay Say Chalti Thi Woh
Gham Uthati Rahi Kham Kamar Ho Gai
Nojawani Mein Hi Jo Zaeefa Hui

Tum Say Phelay Ek Yateema Aisi Bhi Thi

Zalimon Nay Yun Baba Ka Pursa Diya
Jalta Darwaza Us Pay Giraya Gaya
Dar Kay Neechay Thi Woh Darr Hata Na Saki
Hath Bhi Jal Gaye Pehloo Zakhmi Hua
Log Chal Kar Yaha Say Gaye Jab Wahan
Paon Rakh Rakh Kay Torhi Gaiin Pasliyan

Tum Say Phelay Ek Yateema Aisi Bhi Thi

Woh Zaeefa Kahani Sunati Rahi
Aur Masooma Aansu Bahati Rahi

Geel Neelay Hain Jaisay Tumharay Abhi
Us Kay Gaalon Ki Rangat Bhi Aisi Hi Thi
Samnay Us Ko Baiton Kay Mara Gaya
Waqt Yeh Na Kisi Maan Pay Aaye Kabhi
Shahzadi Suno Kitni Bey Bas Thi Woh
Ghar Mein Bachon Say Chehra Chupati Thi Jo

Tum Say Phelay Ek Yateema Aisi Bhi Thi

Jis Tarah Teray Kanon Say Hai Khoon Rawan
Kaan Us Kay Bhi Zakhmi Thay Ay Meri Jaan
Itni Shiddat Say Zalim Nay Mara Usay
Toot Kar Khak Pay Gir Gaiin Baliyan
Beti Bin Baap Ki Dard Seh Na Saki
Hath Kaanon Pay Rakh Kar Woh Roti Rahi

Tum Say Phelay Ek Yateema Aisi Bhi Thi

Woh Zaeefa Kahani Sunati Rahi
Aur Masooma Aansu Bahati Rahi

Pani Uth Uth Kay Jis Ko Pilati Thi Woh
Loriyan Day Kay Jis Ko Sulati Thi Jo
Hath Chadar Mein Us Say Chupanay Lagi
Hath Phaila Kay Jis Ko Bulati Thi Woh
Kaisay Kehti Woh Maan Meray Dill Meri Jaan
Taziyanon Say Zakhmi Hain Sab Ungliyan

Tum Say Phelay Ek Yateema Aisi Bhi Thi

Us Ka Marna Bhi Sab Say Chupaya Gaya
Choda Logon Mein Ghar Say Janaza Utha
Us Ki Chalees Qabren Banai Gaiin
Bas Yeh Suntay Hi Bachi Nay Ro Kar Kaha
Ay Zaeefa Suno Meri Dadi Thi Woh
Mujh Ko Jaldi Batao Keh Tum Kon Ho

Haye Haye Zahra Haye Haye Haye Zahra

Hath Pehloo Say Apnay Uthatay Huye
Zakhmi Chehray Say Parda Hatatay Huye
Ay Raza Aur Zeeshan Ronay Lagiin
Yeh Sakina Ko Zehra Batatay Huye
Mera Wirsa Ho Tum Mera Chehra Ho Tum
Ab Samajh Aaya Kiun Choti Zehra Ho Tum

Haye Haye Haye Zahra
Haye Haye Haye Zahra

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply