Reciter: Tejani Brothers
(Ya haider-e karrar) x9
1. Jibreel nawha parte hai, (mare gaye Ali) x2
Maula-e-kayinaat pe talwaar chalgayi
(Ya haider-e karrar) x6
2. Masjid udaas mimbare kufa udaas hai
Tar khoon me khuda ke wali ka libaas hai
Rota hai asmaan zami(n) ghamse phat gayi
Jibreel nawha parte hai, (mare gaye Ali) x2
Maula-e-kayinaat pe talwaar chalgayi
(Ya haider-e karrar) x6
3. Masjid me rozadar par kaysa sitam huwa
Kabe se aa rahi hai sadaa wa musibata
Ghamse nabi ki kabr bhi ab kaampne lagi
Jibreel nawha parte hai, (mare gaye Ali) x2
Maula-e-kayinaat pe talwaar chalgayi
(Ya haider-e karrar) x6
4. Haay haay yateem Shabbar-o-Shabbir hogaye
Abbas dilko thaamke rote huwe chale
Sarse ridaaye Zainab-o-Kulsum girgayi
Jibreel nawha parte hai, (mare gaye Ali) x2
Maula-e-kayinaat pe talwaar chalgayi
(Ya haider-e karrar) x6
5. Duniya mei bekaso ka sahara nahi raha
Utraa tha jo falak se sitara nahi raha
Arshe bareen pe farshe azaa aaj bichgayi
Jibreel nawha parte hai, (mare gaye Ali) x2
Maula-e-kayinaat pe talwaar chalgayi
(Ya haider-e karrar) x6
6. Maula mera jo khoon me apne naha gaya
Bole farishte haye ye kaisa sitam huwa
Hurrain ye roke kehti thi duniya ujargayi
Jibreel nawha parte hai, (mare gaye Ali) x2
Maula-e-kayinaat pe talwaar chalgayi
(Ya haider-e karrar) x6
7. Zehra lahad me roti hai Haider ke waste
Kehti hai cheyn kabr ke andar nahi muje
Bacho pe mere gham ki ghata aaj chhagayi
Jibreel nawha parte hai, (mare gaye Ali) x2
Maula-e-kayinaat pe talwaar chalgayi
(Ya haider-e karrar) x6
8. “Rehan” mere saath me rone lagaa kalam
Aankho se mere jaari huwe ayse ashke gham
Chalte huwe kalam ke mere saas rukh gayi
Jibreel nawha parte hai, (mare gaye Ali) x2
Maula-e-kayinaat pe talwaar chalgayi
(Ya haider-e karrar) x6