Reciter: Nadeem Sarwar

Ek Zakir Sham Pahuncha Dill Mein Lay Kar Yeh Khayal
Dekh Kar Bazar Aur Darbar Poochun Yeh Sawal

Sar Barehna Jab Thi Zainab Bey Kafan Zehra Ka Lal
Sar Py Sooraj Jal Raha Tha Jis Gharhi Chioonti Ki Chaal

Faasla Bazar Say Darbar Tak Tay Jab Kiya
Waqt Us Mushkil Safar Mein Kitna Bibi Ko Laga

Marqad E Zainab Pay Pahuncha Aur Mujawir Nay Kaha
Ay Mujawir Marqad E Zainab Kay Mujh Ko Yeh Bata

Tay Safar Bazar Say Darbar Tak Main Nay Kiya
Waqt Mujh Ko Is Safar Mein Chand Sa’at Ka Laga

Is Zara Say Faslay Ko Khuahar E Shabbir Nay
Kitni Saa’at Mein Kiya Sar Zainab E Dilgeer Nay

Ro Diya Sun Kar Mujawir Yeh Sawal Aur Yeh Kaha
Zakir E Shabbir Hai Sun’nay Ka Tujh Mein Hosla

Tu Nay Tay Yeh Fasla Jo Chand Saa’at Mein Kiya
Yeh Safar Zainab Ka Sadiyon Kay Barabar Ho Gaya

Tees Ghanton Mein Yahan Tk Pahunchi Bint E Fatima
Gird Thay Lakhon Tamashai Hazaron Ashqiya

Aur Meri Behnon Yeh Gharhi Hai Kis Qadar Ehsas Ki
Thi Behan Abbas Ki Nazren Awamun Naas Ki

Bey Ridai Bey Ghari Aur Us Py Shiddat Pyas Ki
Kehti Thi Mil Jaye Chadar Parcham E Abbas Ki

Saa’at E Sham E Ghareeban Yad Ho Abbas Ki
Jab Na Tha Koi Bhi Waris Masiwa E Bey Kasi

Ghamzada Keh Hath Mein Ek Chob E Khaima Aa Gai
Ban Gai Zainab Ali Abbas Bhi Shabbir Bhi

Sehmay Bachon Kay Liye Bint E Ali Thi Pehradar
Sab Ko Deti Thi Tasalli Khud Magar Thi Ashk Baar

Naagahan Daikha Tarhapta Hai Jaisay Ek Sawar
Thamnay Baag E Faras Bibi Nay Ho Ky Bey Qaraar

Boli Ab Kya Lootnay Aya Hai Sab Kuch Lut Gaya
Jal Gaya Asbab Sara Bhai Mera Mar Gaya

Laot Ja Deti Hun Tujh Ko Mustafa Ka Wasta
Main Nabi Zadi Hun Main Zainab Hun Bint E Sayeda

Mustafa Ka Naam Sun Kar Ho Gaya Woh Bey Qaraar
Dal Kar Baahen Galay Mein Ho Ky Bola Ashk Baar

Main Tera Baba Ali Mushkil Kusha Hun Gham Gusaar
Ab Tu Khaimay Mein Chali Ja Main Banun Ga Pehradar

Baap Ko Daikha To Gham Say Aur Seena Phat Gaya
Dajla E Aansoo Jo Tha Akhir Ko Bey Qabu Hua

Boli Zainab Murtaza Say Kar Kay Yeh Aah O Buka
Kat Gaya Kunba Mera Baba Chini Meri Rida

Akbar O Asghar Sidharay Qasim O Abbas Bhi
Chal Gai Shabbir Kay Halqoom Py Baba Churi

Main Dar E Khaima Py Baba Hath Malti Reh Gai
So Gaya Dariya Kanaray Jaa Ky Abbas E Jari

Hum Ko Ay Rehan Qismat Say Sharaf Kaisa Mila
Roza E Abbas Kay Saye Mein Yeh Noha Likha

Roza E Shabbir Par Jaa Kar Jo Sarwar Nay Parha
Yun Laga Kul Anbiya Hain Shamil E Ahl E Aza

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply