Reciter: Farhan Ali Waris

Keh Rahy Thy Yateeman E Tashna Lab
Ay Nehr E Alqama Hamen Pani Mily Ga Kab
Akhir Koi Khata Bhi Hamari Keh Bey Sabab
Har Zarra Karbala Ka Karta Hai Shor O Sheh

Faryad Az Ghareebiye Beyaari E Hussain

Kosar Ky Malikon Py Jo Bandish Hai Ap Ki
Roi Lehad Mein Rooh Risalat Mua’ab Ki
Kiun Aal Tashna Lab Hai Yahan Bu Turab Ki
In Sy To Barqaraar Hai Duniya Ki Zaib O Zain

Faryad Az Ghareebiye Beyaarie Hussain

Yeh Haq Ky Jan Nisaron Ky Lashy Hain Ja Baja
Sehra Mila Hai Khak Mein Kis Nojawan Ka
Khaimon Sy Uth Rahi Hai Yeh Faryad Aur Buka
Tanha Hai Dashte Khooni Mein Zehra Ka Noor E Ain

Faryad Az Ghareebiye Beyaarie Hussain

Zakhmon Sy Choor Choor Pisar Fatima Ka Hai
Lekin Khayal Dill Mein Behan Ki Rida Ka Hai
Tayyar Lootny Ko Woh Lashkar Jafa Ka Hai
Tarhpa Lab E Furaat Py Woh Bazoo E Hussain

Faryad Az Ghareebiye Beyaarie Hussain

Haye Haye Yeh Kaisa Zulm Hai Ay Dasht E Karbala
Atthara Bhaiyon Ki Behan Aur Bey Rida
Ho Ga Yeh Zulm Jab To Tarhap Jaye Gi Qaza
Roye Gi Rooh E Fatah E Siffiin Aur Hunain

Faryad Az Ghareebiye Beyaarie Hussain

Jannat Sy Jis Ky Wasty Aya Tha Kal Libas
Woh Is Qadar Ghareeb Hai Kuch Bhi Nahi Hai Pas
Bas Dard Hain Sitam Hai Masayeb Hain Aur Pyas
Is Gham Mein Ahl E Khuld Bhi Karny Lagy Hain Bayn

Faryad Az Ghareebiye Beyaarie Hussain

Karti Hai Ro Ky Zainab E Khasta Jigar Fughan
Kiun Toot Ky Gira Nahi Ab Tak Yeh Aasman
Bey Gor O Bey Kafan Mery Bhai Tu Yahan
Loota Teri Judai Ny Zainab Ky Dill Ka Chain

Faryad Az Ghareebiye Beyaarie Hussain

Farhan Dill Ko Zabt Ka Yara Nahi Yara
Yeh Mazhar Abidi Ki Qalam Keh Ky Ruk Gaya
Kya Dastan E Gham Main Likhun Waa Museebata
Har Lafz Dy Raha Hai Sada Ya Hussain Hussain

Faryad Az Ghareebiye Beyaarie Hussain

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply