Reciter: Tejani Brothers

Ay mere akhi abbas

Faryad suno meri, ik baar mujhe bhaayi, kehkar to bula ghazi

bachpan me tera jhula, haathon se jhulaaya tha
hathon ko tere lekar, chalna bhi sikhaaya tha
ab in hathon se me, kistarha uthaauga, bin baazu ye laash teri

Faryad suno meri, ik baar mujhe bhaayi, kehkar to bula ghazi

Aankho(n) ka diya tum ho, Khaliq ki ata tum ho
Baba ne jo maangi thi, rabse wo dua tum ho
Saqqaye Sakina ho, Zainab ki rida tum ho, tum hi ho kamar meri

Faryad suno meri, ik baar mujhe bhaayi, kehkar to bula ghazi

Teero(n) ke musalle par, sar ko mei kataawunga
Kya dekh sakoge tum, mei khu(n) mei nahawunga
Zakhmi mere sine se, har khun ke qatre se, awaaz ye aayengi

Faryad suno meri, ik baar mujhe bhaayi, kehkar to bula ghazi

Akbar ka kaleja hai, nazro(n) mei mere bhayya
Asghar ka lahu hoga, haatho(n) mei mere bhayya
May kisko pukarunga, may kisko sada dunga, batlaado mere ghazi

Faryad suno meri, ik baar mujhe bhaayi, kehkar to bula ghazi

Sunteho Sakina ke, lab par hai fughaa(n) bhai,
Lot aao mere ammu, paani nahi mangungi
Ab rut na jaawo tum, itna to zara socho, marjaayegi wo bachi

Faryad suno meri, ik baar mujhe bhaayi, kehkar to bula ghazi

Maut aayengi zindaa(n) mei, Masoom Sakina ko
Ro ro ke sada degi, ammu mere ajaawo
Jaan(n) apni gawakar wo phir sham ke zinda(n) se, na lot ke aaegi

Faryad suno meri, ik baar mujhe bhaayi, kehkar to bula ghazi

Rukh karke najaf ka phir ghazi ne kaha baba
Ab paas nahi baazu, may kya karu ya Zahra
Maula hai akela ab, karbal me bachi hai bas, Shabbir ki tanhayi

Faryad suno meri, ik baar mujhe bhaayi, kehkar to bula ghazi

Sunkar ye sada sheh ki, abbas ka tan tarpa
Jalti huwi reti par ghazi ka badan larza
Kaese mere aaqa may, jaau(n) dare khaime par, jab paas nahi paani

Faryad suno meri, ik baar mujhe bhaayi, kehkar to bula ghazi

Aaqa may sue khaima, hargiz nahi jaaunga
May kaise sakina ko, mu(n) apna dikhaunga
Ab roze qayamat tak, Darya ke kinaare se, uthwaana na laash meri

Faryad suno meri, ik baar mujhe bhaayi, kehkar to bula ghazi

Karbal me “Tejani” thi shabbir ki ye haalat
Ik baar kaho bhaayi, puri ho meri hasrat
Abbas ke hoto(n)se, ek baar sada aai,
shabbir mere bhayi

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply