Reciter: Farhan Ali Waris
Hayya Ala Khairilamal
Hayya Ala Khairilamal
Har Gustakh E Rasool Ko Duniya Sy Hum Mitayen Gy
Har Gustakh E Ahlebait Ko Duniya Sy Hum Mitayen Gy
Jo Ali Ka Nahi Woo Nabi Ka Nahi
Jo Nabi Ka Nahi Woo Khuda Ka Nahi
Jo Khuda Ka Nahi Woh Kisi Ka Nahi
Hai Dill Mein Hamary Ishq E Ali
Hai Dill Mein Hamary Ishq E Nabi
Har Dushman Aal E Muhammad Ailaan Hamara Sun Ly
Hum Ko Maloom Hai Maqtal Sy Guzarna Kya Hai
Rooh Zinda Hai To Phir Jism Ka Marna Kya Hai
Baad Az Marg Hamen Ishq Rakhy Ga Zinda
Kar Liya Ishq To Phir Maot Sy Darna Kya Hai
Seenon Mein Shaoq E Shahadat Basa Ky
Hathon Mein Ghazi Ka Parcham Utha Ky
Paigham Dety Huye Karbala Ky
Barhty Rahen Zulmaton Ko Mita Ky
Zindagi Ko Waqf Kar Ky Hussain Ky Naam
Bas Aik Nara Ho Wird E Zabaan
Barhta Rahy Karwan Geo Hussaini Jawan
Barhta Rahy Karwan Geo Hussaini Jawan
Ay Meer E Karwan Fatah E Lashkar Ya Ali
Ya Ali Mola Ali
Fatah E Lashkar Ya Ali
Ya Ali Mola Ali
Hal Min Nasireen Yansurna
Hum Aur Irady Hamary Talwar Hain
Ek Do Nahi Balky Sary Ky Sary Mukhtar Hain
Nohay Ky Alfaz Den Gy Gawahi
Hum Hain Imam E Zaman Ky Sipahi
Jurrat Mein Meesum Wilayat Ky Raahi
Thokar Mein Rakhty Hain Hum Takht E Shahi
Kafi Hai Bas Syeda Ki Dua Hi
Mil Ky Boly Sary Momin Peer O Jawan
Dast E Karam Ho Imam E Zaman
Barhta Rahy Karwan Geo Hussaini Jawan
Fatah E Lashkar Ya Ali
Ya Ali Mola Ali
Lashy Uthaye Uthaty Rahen Gy
Majlis Mein Jaty Hain Jaty Rahen Gy
Toofan To Aty Hain Aty Rahen Gy
Hum Apni Himmat Barhaty Rahen Gy
Ghar Luty Ya Jaan Jaye Khuda Ki Qasam
Dety Rahen Gy Yehi Hum Aza
Barhta Rahy Karwan Geo Hussaini Jawan
Fatah E Lashkar Ya Ali
Ya Ali Mola Ali
Ay Meer E Karwan Fatah E Lashkar Ya Ali
Ya Ali Mola Ali
Fatah E Lashkar Ya Ali
Ya Ali Mola Ali
Hayya Ala Khairil Amal
Mola Imam Hussain A.s Farmaty Hain
Agar Zindagi Ka Ikhtatam Maot Par Hi Hai To Us Ka Behtareen Intekhab Shahadat Hai
Wirsa Hai Hamara Shahadat
Kehty Hain Jisy Hum Sa’aadat
Karam Hussain Ka Mujh Par Mazeed Ho Jaye
Marun To Lehad Mein Mola Ki Deed Ho Jaye
Ajeeb Jazba Hai Har Maan Duayen Karti Hai
Khuda Kary Mera Bacha Shaheed Ho Jaye
Ay Maan
Kuch Khaof Nahi Ab Mujhy Izzat Mein Kami Ka
Shajra Hai Khuda Rahy Hussaini Hasani Ka
Likh Dena Kafan Par Mery Bas Tum Ali Waris
Khud Qabar Samajh Jaye Gi Banda Hun Ali Ka
Shaheed Zinda Hai
Shaheed Qabar Ki Janib Chala To Aisy Chala
Dill Mein Haider Ki Wila Munh Py Maly Khak E Shifa
Sath Matam Ky Nishan Aur Shahadat Nama
Jab Hua Qabr Mein Dakhil To Yeh Manzar Dekha
Misl E Gulshan Ky Tar O Taza Nazar Ati Hai
Qabr To Khuld Ka Darwaza Nazar Ati Hai
Shaheed Zinda Hai
Di Nida Hatif E Ghaibi Ny Keh Ab Ho Hoshyar
Murtaza Qabr Mein Aty Hain Basad Izz O Wiqar
Meri Turbat Mein Ajab Tarha Ki Ai Hai Bahaar
Kya Haseen Maot Hai Is Maot Py So Zeest Nisar
Mera Mola Meri Turbat Mein Chala Aya Hai
Asal Mein Ab Mujhy Marny Ka Maza Aya Hai
Shaheed Zinda Hai
Ay Ahl E Jahan Socho To Zara
Hai Fikr Ki Jaa Rony Ki Faza
Jab Apna Koi Mar Jata Hai
Karbal Ka Kafan Woh Pata Hai
Ahbaab O Azeez Aur Dost Sabhi
Rony Ky Liye Aa Jaty Hain
Kis Shan Sy Apny Pyaron Ki
Mayyat Ko Sabhi Dafnaty Hain
Afsos Magar Zehra Ka Pisar
Chalees Dinon Tak Bey Sar Tha
Us Lashy Py Sadqy Kon O Makan
Na Kafan Mila Na Dafn Hua
Haye
Had Hua Karti Hai Har Zulm Ky Afsany Ki
Zulm Sehny Ki Sitam Sehny Ki Gham Khany Ki
Kalma Goyon Yehi Ek Bat Hai Rulwany Ki
Rasm Hai Sary Musalmanon Mein Dafnanay Ki
Par Muhammad Ky Nawasy Ko Kafan Hi Na Mila
Rony Ky Liye Kafi Hai Ay Mazhar O Farhan
Paya Kafan Shaheedon Ny Aur Dafan Ka Samaan
Par Muhammad Ky Nawasy Ko Kafan Hi Na Mila