Reciter: Nadeem Sarwar

Ek Shor Hai Alaman
Abbas Aa Rahey Hen

Ek Hath Mein Alam Aur Mashk E Sakina
Abbas Aa Rahey Hen

Kandhy Py Mashk Mashk Mein Dil Hai Dalair Ka
Dariya Ko Cheen Lena Nahi Kam Dair Ka
Ehsan Tishnagi Mein Bhuly Ga Na Ghair Ka
Bigrha Hua Mizaj Hai Haider Ky Shair Ka

Abbas Aa Rahey Hen

Chehra Hai Walqamar Ka Ziyaon Sy Noor Norr
Ankhon Sy Jhankta Hua Wan Najm Ka Suroor
Bala Kadi Hai Aisi Ky Sharmaye Koh E Toor
Zulfen Daraz Aisi Ky Wallail Ka Shaoor

Abbas Aa Rahey Hen

Pyasa Hai Shair Ghat Ka Rasta Na Rokna
Ankhen Jhukao Shair Ki Janib Na Dekhna
Kaisi Bachy Gi Jan Yeh Lazim Hai Sochna
Abbas Hai Jalal Mein Har Giz Na Tokna

Abbas Aa Rahey Hen

Tewar Bata Rahy Hain Qayamat Uthaye Ga
Taigh E Nazar Sy Is Ki Khuda Hi Bachaye Ga
Aaya Jo Samny Koi Woh Mara Jaye Ga
Ek Mashk Mein Furat Ko Bhar Kar Dikhaye Ga

Abbas Aa Rahey Hen

Qabza Hua Furat Par Al Qissa Mukhtasar
Pani Ko Dekha Phat Gaya Abbas Ka Jigar
Ankhen Lahu Lahu Huiin Bachon Ki Pyas Par
Bali Sakina Bachon Sy Kehti Rahi Udhar

Abbas Aa Rahey Hen

Khaimy Ky Dar Py Pyasi Sakina Thi Muntazar
Junbish Alam Ki Dekh Ky Deti Thi Yeh Khabar
Tishna Labon Dua Mein Tumhari Hua Asar
Woh Dekho Aa Raha Hai Chacha Ka Alam Nazar

Abbas Aa Rahy Hein

Aaya Alam Zuroor Magar Khoon Mein Bhara
Zainab Ny Sar Ko Peet Ky Shabbir Sy Kaha
Kiun Kham Kamar Hai Ap Ki Ghazi Kahan Gya
Boly Hussain Ab Koi Pyasa Na Dy Sada

Abbas Aa Rahe Hain

Barhaq Hai Maot Kehti Hai Quran Si Kitab
Sab Ko Fana Hai Chand Ho, Tarey Hon, Aftaab
Ho Ga Nadeem Sarwar O Rehan Jab Hisab
Keh Den Gy Ham Khuda Sy Ky Deny Ko Ab Jawab

Abbas Aa Rahy Hain

Ek Hath Mein Alam Aur Mashk E Sakina
Abbas Aa Rahey Hen
Ek Shor Hai Al Aman
Ek Shor Hai Al Aman

Leave a Reply