Reciter: Syed Ali Deep Rizvi

Fidak Ka Gham Nahi Darbar E Jafa Ka Gham Hai
Isi Liye To Hamari Nigah Purnamm Hai

Haye Zahra Haye Zahra

Kahan Woh Bint E Payambar Kahan Shaqi Ummat
Bula Ky Barsar E Darbar Jis Ny Di Zillat
Yeh Dard Bibi Ka Logon Hamen To Har Dam Hai

Fidak Ka Gham Nahi Darbar E Jafa Ka Ghum Hai

Kaha Nabi Ny Hai Sab Sy Yeh Mera Tukrha Hai
Yeh Jis Sy Razi Hon Bas Woh Khuda Ka Banda Hai
Nabi Ky Hukam Py Momineen Ka Sar Sada Khum Hai

Fidak Ka Gham Nahi Darbar E Jafa Ka Gham Hai

Woh Jis Ky Dono Pisar Warisan E Jannat Hain
Woh Jis Ky Shohar Taqseem Kaar E Jannat Hain
Hain Khud Bhi Waris E Jannat Yeh Shan Kya Kam Hai

Fidak Ka Gham Nahi Darbar E Jafa Ka Gham Hai

Nabi Ky Samny Jo Thy Nabi Ky Parwanay
Nabi Ky Baad Woh Aisy Bany Hain Anjaanay
Jala Raha Hai Dar E Sayeda Jo Zaalim Hai

Fidak Ka Gham Nahi Darbar E Jafa Ka Gham Hai

Yeh Koi Poochay Zamanay Say Adal Kaisa Hai
Janab E Zehra Ka Haq Kis Shaki Ny Cheena Hai
Zaroor Bughz E Ali Us Ki Soch Mein Zamm Hai

Fidak Ka Gham Nahi Darbar E Jafa Ka Gham Hai

Karanay Yad Gai Thiin Ghadeer Ka Eilaan
Kiun Itni Jaldi Bhula Dala Tum Ny Yeh Paymaan
Tumharay Hath Mein Kiun Nafraton Ka Parcham Hai

Fidak Ka Gham Nahi Darbar E Jafa Ka Gham Hai

Rahay Gi Jari O Sari Batool Ki Majlis
Najis Rahy Gi Hamesha Yazeed Ki Khawahish
Hai Aitjaj Ali Deep Yeh Jo Matam Hai

Fidak Ka Gham Nahi Darbar E Jafa Ka Gham Hai

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply