Reciter: Farhan Ali Waris
Daikh Kay Giriya Matam
Har Ek Farsh E Aza Par
Duayen Karta Hun Maula
Jab Talak Hai Yeh Jahan
Jab Talak Hai Yeh Jahan Hai Dua Mery Khuda
Ghame Hussain Rahay Yeh Azadar Rahen
Teray Huzoor Dua Mangtay Hain Ahle Aza
Qubool Kar Lay Bahaq E Rasool Sab Ki Dua
Hamesha Baqi Rahay Zikr E Shahenshah E Wafa
Ay Khuda Ay Khuda
Hum Rahen Ya Na Rahen Rahay Baqi Yeh Sada
Gham E Hussain Rahay Yeh Azadar Rahen
Zamana Lakh Badalta Rahay Nigah Magar
Dilon Say Mitnay Nahi Paye Karbala Ka Asar
Azaan Kay Sath Kary Matami Sada Bhi Safar
Ay Khuda Ay Khuda
Jab Chala Zikr Tera Dill Nay Mangi Yeh Dua
Gham E Hussain Rahay Yeh Azadar Rahen
Yazeed E Fikr Ko Tu Khak Mein Milata Rahay
Fizaa Mein Parcham E Abbas Lehlahata Rahay
Hussaini Azm Yazeedon Ka Sar Jhukata Rahay
Ay Khuda Ay Khuda
Sar Jo Sajday Mein Gaya Hum Nay So Bar Kaha
Gham E Hussain Rahay Yeh Azadar Rahen
Ghame Hussain Ko Mehfooz Rakh Jafaon Say
Hussainiyat Ka Shajar Door Ho Khizaon Say
Saja Diya Hai Musallay Ko In Duaon Say
Ay Khuda Ay Khuda
Lab Kusha Jab Bhi Hua Har Hussaini Nay Kaha
Gham E Hussain Rahay Yeh Azadar Rahen
Hamaray Zakhmon Ka Marham Hai Yeh Aza E Hussain
Sabhi Ibadaten Kartay Hain Ham Baraye Hussain
Labon Pay Ta Ba Qayamat Sada Ho Haye Hussain
Ay Khuda Ay Khuda
In Duaon Mein Khuda Sath Hai Karbobala
Gham E Hussain Rahay Yeh Azadar Rahen
Rahen Wafa Mein Kabhi Dagmaga Na Payen Qadam
Hamaray Dosh Pay Lehraye Bawafa Ka Alam
Hamaray Azm Say Larza Rahay Yeh Ahl E Sitam
Ay Khuda Ay Khuda
Jab Bicha Farsh E Aza Matami Kehnay Laga
Gham E Hussain Rahay Yeh Azadar Rahen
Yeh Majlisen Bhi Khuda Madrison Say Kam To Nahi
Tera Rasool Bhi Kehta Hai Sirf Hum To Nahi
Gham E Hussain Barha Hai Hamara Gham To Nahi
Ay Khuda Ay Khuda
Apnay Gham Bhool Gaya Jis Nay Ro Kar Yeh Kaha
Gham E Hussain Rahay Yeh Azadar Rahen
Yeh Kaar E Majlis O Matam Barhatay Jayen Gay
Charagh Ashk E Aza Kay Jalatay Jayen Gay
Hussaini Fikr Dilon Mein Jagatay Jayen Gay
Ay Khuda Ay Khuda
Jab Qalam Chalnay Laga Keh Uthi Fikr E Rasaa
Gham E Hussain Rahay Yeh Azadar Rahen
Yehi Aqeeda Hai Farhan Aur Mazhar Ka
Keh Ek Qabeelay Kay Afraad Hain Yeh Ahl E Aza
Yeh Yeh Shayer Sabhi Ki Hai Yeh Sada
Ay Khuda Ay Khuda
Hum Rahen Ya Na Rahen Rahay Baqi Yeh Sada
Gham E Hussain Rahay Yeh Azadar Rahen