Ya Zahra Ali Lyrics Nadeem Sarwar Noha 2015
Urdu Noha Ya Zahra Ali Lyrics in English and Urdu recited by Nadeem Sarwar in 2015. Find more noha lyrics by Nadeem Sarwar similar to lyrics of Ya Zahra Ali on Khairilamal.
Ya Zahra Ali Lyrics in English
Momino Qissa E Sadaat Suno
Thaam Kar Dil Yeh Meri Baat Suno
Khoon Sy Likhy Huye Halaat Suno
Ya Zahra Ya Zahra Ya Zahra Ya Zahra
Ya Zahra Ali, Ya Zahra Ali, Ya Zahra Ali, Ya Zahra
Momino Qissa E Sadaat Suno
Thaam Kar Dil Yeh Meri Baat Suno
Noor E Konain Madina Hai Jahan
Ik Mohalla Bani Hashim Hai Wahan
Us Mahallay Ky Hai Ik Ghar Ka Bayan
Jis Sy Behtar Nahi Duniya Mein Makaan
Deen O Emaan Ky Kirdaar Ka Ghar
Panjtan Pak Ky Anwaar Ka Ghar
Dukhtar E Ahmad E Mukhtar Ka Ghar
Fatima Haider E Karrar Ka Ghar
Ladly, Ladly,
Ladly In K Hassan Aur Hussain
Aur Do Betian Thiin Noor E Ain
Aik Kulsoon Thi, Ek Baap Ka Zain
Aur Abbas Dil O Jaan Ka Chain
Ghar Yeh Tha Bait E Khuda,
Jis Mein Quran Utra,
Aur Kis Tarah Luta
In Ka Rutba Na Zamana Samjha
Ya Zahra Ali, Ya Zahra Ali, Ya Zahra Ali, Ya Zahra
Kaisi Mazloom Magar Thiin Zahra
Bap Ky Gham Mein Bhi Rony Na Diya
Haq Sy Mehroom Kiya Wa Abata
Aaj Bhi Jis Ki Lehad Bay Saya
Jis Py Jalta Hua Darwaza Gira
Ho Gaiin Pehloo Shakista Zahra
Qatl E Mohsin Bhi Hua Wawaila
Baad E Zehra Woh Ali Ka Giriya
Masjid E, Masjid E,
Masjid E Koofa Mein Phir Shor Utha
Haye Haider Py Chali Taigh E Jafa
Thi Sada Fuzt O Bay Rab Il Kaaba
Ghar Mein Zehra Ky Qayamat Thi Bapa
Sar Sy Saya Jo Utha
Ghar Yeh Weeran Hua
Thi Yateemon Ki Buka
Haye Baba, Haye Baba Baba
Ya Zahra Ali, Ya Zahra Ali, Ya Zahra Ali, Ya Zahra
Baad E Haider Yeh Sitam Aur Hua
Khoon Mein Shabbar Ka Janaza Dooba
Aur Phir Deen Jo Mushkil Mein Ghira
Tab Hussain Ibne Ali Ghar Sy Chala
Karbala Jaisy Hi Pahuncha Kunba
Phir To Kya Zulm Na Syed Py Hua
Mil Ky Laakhon Ny Unhen Ghair Liya
Teen Din Pehly To Pani Na Diya
Aur Phir, Aur Phir,
Aur Phir Maqtal E Sadaat Saja
Bhanjy, Baitay, Bhateeja Na Raha
Na Woh Lashkar, Na Alamdar Bacha
Asr Sy Pehly Woh Hal Min Ki Sada
Chal Gai Taigh E Jafa
Khoon Bay Kas Ka Baha
Sar Sooye Naiza Gaya
Tan Ko Aaghosh Mein Zehra Ny Liya
Ya Zahra Ali, Ya Zahra Ali, Ya Zahra Ali, Ya Zahra
Aa Gai Shame Ghareeban Haye Haye
Aur Phr Aag Lagi Khaimay Jaly
Ghash Sy Jab Abid E Bemaar Uthy
Qaidi Kunby Ky Woh Salaar Bany
Haye Sajjad Ny Kya Kya Dekha
Sar Khuly Shaam Mein Kunba Dekha
Jashn Darbar Mein Hota Dekha
Choti Hamsheer Ka Lasha Dekha
Qaid Sy, Qaid Sy,
Qaid Sy Chut Ky Chaly Karbobala
Sab Ka Chehlum Kiya, Matam Bhi Kiya
Qafla Jab Yeh Madiney Pahuncha
Ab Bayan Sarwar O Rehan Ho Kya
Haye Matam Tha Bapa, Jab Yeh Zainab Ny Kaha
Na Rahi Meri Rida
Amman Main Aa Gai, Bhai Na Raha
Ya Zahra Ali, Ya Zahra Ali, Ya Zahra Ali, Ya Zahra
Leave a Reply