Reciter: Ali Safdar

Ghazi Abbas Ki Kya Ajab Shan Hai

Ghazi Abbas Ki Kya Jab Shan Hai
Ho Kay Bey Dast Kull Ka Nigehbaan Hai

Ghazi Abbas Ki Kya Ajab Shan Hai

Jis Ka Dada Hawala Hai Emaan Ka
Jis Ka Baba Do Alam Ka Mushkil Kusha
Jis Kay Aosaaf Ka Qari Quran Hai

Ghazi Abbas Ki Kya Ajab Shan Hai

Shah Nay Un Ko Aghosh Mein Jab Liya
Choom Kar Chehra Un Ka Padar Nay Kaha
Yeh To Abbas Hai Meri Pehchan Hai

Ghazi Abbas Ki Kya Ajab Shan Hai

In Ko Allah Nay Aala Rutba Diya
Sayeda Nay Inhen Apna Beta Kaha
Kis Qadar In Pay Qismat Meharban Hai

Ghazi Abbas Ki Kya Ajab Shan Hai

Woh Jari Woh Dilawar Woh Shair E Jawan
Jis Ki Nas Nas Mein Khoon E Ali Hai Rawan
Jis Ki Haibat Say Batil Pareshan Hai

Ghazi Abbas Ki Kya Ajab Shan Hai

Us Kay Bazu Mein Hai Quwat E Haideri
Jis Ka Charcha Zamanay Mein Hai Aaj Bhi
Jis Kay Taiwar Say Larza Yeh Toofan Hai

Ghazi Abbas Ki Kya Ajab Shan Hai

Chashm E Abbas Jab Ghaiz Dhanay Lagi
Rann Mein Har Samt Bijli Giranay Lagi
Is Shujaat Py Dushman Bhi Hairan Hai

Ghazi Abbas Ki Kya Ajab Shan Hai

Iqtedaar E Sukhan Teri Midhat Say Hai
Meri Pehchan Sab Teri Nisbat Say Hai
Main Hun Jo Kuch Yeh Ghazi Ka Faizan Hai

Ghazi Abbas Ki Kya Ajab Shan Hai

Sakhi Abbas Abbas

Urdu Lyrics

غازی عباس کی کیا عجب شان ہے

غازی عباس کی کیا عجب شان ہے
ہو کے بے دست کل کا نگہبان ہے

غازی عباس کی کیا عجب شان ہے

جس کا دادا حوالہ ہے ایمان کا
جس کا بابا دو عالم کا مشکل کشا
جس کے اوصاف کا قاری قرآن ہے

غازی عباس کی کیا عجب شان ہے

شاہ نے ان کو آغوش میں جب لیا
چوم کر چہرہ ان کا پدر نے کہا
یہ تو عباس ہے میری پہچان ہے

غازی عباس کی کیا عجب شان ہے

ان کو اللہ نے اعلی رتبہ دیا
سیدہ نے انہیں اپنا بیٹا کہا
کس قدر ان پے قسمت مہربان ہے

غازی عباس کی کیا عجب شان ہے

وہ جری وہ دلاور وہ شیر جواں
جس کی نس نس میں خون علی ہے رواں
جس کی ہیبت سے باطل پریشان ہے

غازی عباس کی کیا عجب شان ہے

اس کے بازو میں ہے قوت حیدری
جس کا چرچہ زمانے میں ہے آج بھی
جس کے تیور سے لرزہ یہ طوفان ہے

غازی عباس کی کیا عجب شان ہے

چشم عباس جب غیض ڈھانے لگے
رن میں ہر سمت بجلی گرانے لگے
اس شجاعت پے دشمن بھی حیران ہے

غازی عباس کی کیا عجب شان ہے

اقتدرا سخن تیری مدحت سے ہے
میری پہچان سب تیری نسبت سے ہے
میں ہوں جو کچھ یہ غازی کا فیضان ہے

غازی عباس کی کیا عجب شان ہے

سخی عباس عباس

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply