Reciter: Joan Rizvi

Zahra Haye Zahra

Roti Ankhon Sey Yeh Sab Daikh Rahi Hai Zahra
Kalma Bethy Hain Khamosh Kharhi Hai Zahra

Roti Ankhon Se Yeh Sab Daikh Rahi Hai Zahra

Mujh Pe Kya Guzri Qayamat Ki Gharhi Bhi Dekhen
Mere Balon Mein Mere Baba Safaidi Dekhen
Jhuk Gai Meri Qamar Aur Zaeefi Dekhen
Kaise Pehchano Gy Baba Keh Yehi Hai Zahra

Roti Ankhon Se Yeh Sab Daikh Rahi Hai Zahra

Ek Hi Paishi Ne Yeh Hal Kiya Hai Mera
Kaise Guzre Ga Aseeri Mein Safar Zainab Ka
Cheen Li Jaye Gi Jab Sham E Ghareeban Mein Rida
Thamy Chadar Ko Yehi Soch Rahi Hai Zahra

Roti Ankhon Sy Yeh Sab Dekh Rahi Hai Zahra

Ghar Jala Ho Gaya Pehlu Bhi Shakista Bibi
Ap Ko Mara Hai Kunfuz Ny Tamancha Bibi
Ban Gaya Apka Maqtal Yeh Madina Bibi
Aap Par Tooti Qayamat Ki Gharhi Hai Zahra

Roti Ankhon Se Yeh Sab Daikh Rahi Hai Zahra

Koi Mastoor Na Mushkil Mein Khudaya Aaye
Fatima Dil Ke Sabhi Dard Kise Batlaye
Maan Kabhi Bety Ke Hoty Na Tamancha Khaye
Ghum Tere Seeney Me Naizey Ki Ani Hai Zehra

Roti Ankhon Se Yeh Sab Dekh Rahi Hai Zehra

Hai Giraftar Ali Chalti Hai Zahra Peechey
Hath Pehlu Py Rakhy Aur Larhkharhaty Huye
Bain Karty Huye Girti Hai Rida Ko Thamy
Har Qadam Sath Yun Haider Ky Chali Hai Zahra

Roti Ankhon Se Yeh Sab Daikh Rahi Hai Zahra

Yeh Tamanchey Ki Wirasat To Sakina Ly Gi
Keel Ban Jaye Gi Akbar Ky Jigar Mein Barchi
Khum Yeh Sajjad Ko Zainab Ko Mily Gi Paishi
Apni Aolad Mein Ghum Bant Chuki Hai Zahra

Roti Ankhon Se Yeh Sab Daikh Rahi Hai Zahra

Jis Tarah Bibi Tera Sajda Ada Hota Hai
Zakhm Ka Khoon Musalley Py Baha Jata Hai
Hath Har Waqt Hi Pehlu Py Rakha Rehta Hai
Kaisi Tasweer Masayeb Ki Bani Hai Zahra

Roti Ankhon Se Yeh Sab Daikh Rahi Hai Zahra

Sabr Qasim Yun Sar E Ghaib Kiya Hai Us Ny
Taigh Par Soch Ke Hathon Ko Rakha Hai Us Ny
Kiun Nahi Badla Abhi Tera Liya Hai Us Ny
Tere Mehdi Ko Aziyat Yeh Barhi Hai Zahra

Roti Ankhon Se Yeh Sab Daikh Rahi Hai Zahra

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply