Reciter: Tejani Brothers

Ghurbat ki inteha hai Hussain Ye deen ki baqa hai Hussain

Hussain poori risalat, bachany waly hain
Hussain waada-e-tifli, nibhany waaly hain
Han asl-e-aayat-e-tatheer ka tarjumaan hai Hussain

Ghurbat ki inteha hai Hussain Ye deen ki baqa hai Hussain

Badan hai teeron se chhalni, aur beet’ti hai qayamat
Wo teen din kay hain pyasy, Hai aab ki kasrat
Jo sehn kar raha har zulm aur jafa Hai Hussain

Ghurbat ki inteha hai Hussain Ye deen ki baqa hai Hussain

Hai yaad Khoon mei doobi, jawaan ki mayyat
Banai haathon se Asghar, ki jisny thi turbat
Wo jiske dil mei hazaron haan ghum jama hai hussain

Ghurbat ki inteha hai Hussain Ye deen ki baqa hai Hussain

Hussain ghazi ke laashy, pe aye dil thaamy
Kaha wo ro ky na rootho, ay bhai jaan mujhse
Nahi hai moonis-o-yawar faqat bacha hai Hussain

Ghurbat ki inteha hai Hussain Ye deen ki baqa hai Hussain

Sawaar sine pe hai shimr, hai hath mein khanjar
Galy py sheh ki wo zalim, Chalaata hai hans kar
Sada falak se ye aai zibah hua hai Hussain

Ghurbat ki inteha hai Hussain Ye deen ki baqa hai Hussain

Thi sham kaisi gharibon, pe jal gaye khaimy
Pukaari ro ky ye zainab, wo dasht mein aa ky
Na mery sar pe bhi saaya koi bacha hai Hussain

Ghurbat ki inteha hai Hussain Ye deen ki baqa hai Hussain

Ay Fatima tery bety, ko ro rahy hain hum
Wo jispe abid-e-muztar, na kar saka matam
Zabaan pe aaj hamary faqat sada hai Hussain

Ghurbat ki inteha hai Hussain Ye deen ki baqa hai Hussain

Nahi misaal muhabbat, ki phir kabhi aisi
“Tejani” sheh ki zabaan par, thi bas sana rab ki
Allah karta hai khud hi jinki sana hai Hussain

Ghurbat ki inteha hai Hussain Ye deen ki baqa hai Hussain

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply