Reciter: Joan Rizvi
Haye
Darbar E Sham Ky Bahir Aa Kar Jo Qafila Ruka
Zainab Py Teen Din Hui Us Jaa Sitam Ki Inteha
Aai Sar E Hussain Sy Rony Ki Us Gharhi Sada
Dekha Sar E Hussain To Zainab Ny Ro Ky Kaha
Dekho Hussain Zainab Ko Manzil Kahan Yeh Lai Hai
Haye Aise Sham Aai Hai
Ghurbat Py Meri Logon Ny Har Ek Gali Sajai Hai
Haye Aise Sham Aai Hai
Dekho Hussain Zainab Ko Manzil Kahan Yeh Lai Hai
Haye Aise Sham Aai Hai
Atthara Bhai Jeety Jee Chadar Jo Mery Sar Ki Thy
Naizon Py Un Ky Sar Hain Aur Zainab Ki Bey Ridai Hai
Haye Aise Sham Aai Hai
Dekho Hussain Zainab Ko Manzil Kahan Yeh Laai Hai
Haye Aisy Sham Aai Hai
Pathar Teri Jabeen Par Mara Gaya Jis Tarah
Har Jaa Py Zarb Pathar Ki Mainy Bhi Wesy Khai Hai
Haye Aise Shaam Aai Hai
Dekho Hussain Zainab Ko Manzil Kahan Yeh Lai Hai
Haye Aise Shaam Aai Hai
Zainab Ko Maaro Jab Bhi Yeh Qatil Tumhary Kehty Hain
Fizza Ny Apny Saye Mein Teri Behan Chupai Hai
Haye Aise Sham Aai Hai
Dekho Hussain Zainab Ko Manzil Kahan Yeh Lai Hai
Haye Aise Sham Aai Hai
Charon Taraf Khary Huye Khoon Khuwar Log Hain Jahan
Qaidi Bana Ky Zainab Ko Faoj E Laeen Lai Hai
Haye Aise Sham Aai Hai
Dekho Hussain Zainab Ko Manzil Kahan Yeh Lai Hai
Haye Aise Sham Aai Hai
Badly Ali Sy Leny Hain Jis Ny Bhi Aa Ky Ly Ly Woh
Boly Laeen Sham Mein Beti Ali Ki Aai Hai
Haye Aise Sham Aai Hai
Dekho Hussain Zainab Ko Manzil Kahan Yeh Lai Hai
Haye Aise Sham Aai Hai
Pathar Hain Taziyanay Hain Aur Jhirhkian Hain Tahny Hain
Bazar Hai Hujoom Hai Har Simt Bey Hayai Hai
Haye Aise Sham Aai Hai
Dekho Hussain Zainab Ko Manzil Kahan Yeh Lai Hai
Haye Aise Sham Aai Hai
Ghum Bibiyon Ky Dill Mein Hai Maqtoolon Ka Asad Magar
Chehron Py Gham Hai Sar Nanagy Aulad E Mustafai Hai
Haye Aise Sham Aai Hai
Dekho Hussain Zainab Ko Manzil Kahan Yeh Lai Hai
Haye Aise Sham Aai Hai