Reciter: Tejani Brothers

Ya Hussain Anta harrartal abeed
Ya Hussain dhikruka saara nasheed
Ya Hussain Qata’u minkal wareed
Ya Hussain ya ghareeban ya shaheed

Ye zameen, asman kehraha hai ya Hussain
Momino ke lahu mei behraha hai ya hussain

Thi ye sabko khabar, ye jahaa(n) sab hai tera
Haa(n) magar, ye sila tujhko ummat se mila
Tha tera sara tan, teero(n) se itna bhara
Ghirke phir rukgaya teero(n) pe lasha tera

Ye zameen, asman kehraha hai ya Hussain
Momino ke lahu mei behraha hai ya hussain

Anta qurban-ul-ilaah, anta lid-deeni fidah
Dammukas-saala ulaah, qaddasal baari sanaah
Ya Hussain, ya Hussain, sirta lid-dunya manaar
Ya Hussain ya Hussain, dhikruka Ad’haa shi’aar

Ye zameen, asman kehraha hai ya Hussain
Momino ke lahu mei behraha hai ya hussain

How Yazid tried to bury your name into the sand
Covered up karbala, but this was allah’s command
that hussain will live on in this world in every land
till the end we will mourn our masters final stand

Ye zameen, asman kehraha hai ya Hussain
Momino ke lahu mei behraha hai ya hussain

Har jawaa(n) peer ke, dil se uth’ti hai sada
Apne khu(n) se jalaaye gham-e-sheh ka diya
Zindagi kuch nahi(n) gar na ho sheh ki aza
Is ki khatir karenge ham apni jaa(n) fida

Ye zameen, asman kehraha hai ya Hussain
Momino ke lahu mei behraha hai ya hussain

Jis liye haaye Zainab tarapti rehgayi
Jisliye umr bhar, roya Abid Khun bhi
Meri maayei(n) bahan, wo rida pehna karo
Shaam ke daastaa(n) se mila kya kuch nahi(n)

Ye zameen, asman kehraha hai ya Hussain
Momino ke lahu mei behraha hai ya hussain

Dars ye milraha hai hamme Abbas se
Apne bazu agar, jism se dono kate
Jism se khu(n) ka darya agar behta rahe
Bas hamesha hussai(n) pe wafa jari rahe

Ye zameen, asman kehraha hai ya Hussain
Momino ke lahu mei behraha hai ya hussain

Shaam mei haaye bechayn dil zainab ka tha
Chahti thi ke matam kare shabbir ka
Haa(n) magar khu(n) mei tar haath the gardan passé
Dekh ke uski majboori bola ye khuda

Ye zameen, asman kehraha hai ya Hussain
Momino ke lahu mei behraha hai ya hussain

Anta harrartal abeed, dhikruka saara nasheed
Qata’u minkal wareed, ya ghareeban ya shaheed
Ya Hussain ya Hussain, bismika ad-dunya tadoor
Ya Hussain ya Hussain, qabrukaz-zaahi yanoor

Ye zameen, asman kehraha hai ya Hussain
Momino ke lahu mei behraha hai ya hussain

Ye “Tejani” sada hai hamare khun ki
Dil mei aur ankh mei, karbala bas hai basi
Tera matam nahi(n) ruksakega ab kabhi
Jo rukawat hai ham, tor dalege sabhi

Ye zameen, asman kehraha hai ya Hussain
Momino ke lahu mei behraha hai ya hussain

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply