Reciter: Tejani Brothers

Main Hun Abbas Ibn E Ali
Main Hun Baab E Hawayej

Meray Azadaro
Kabhi Na Ghabrao
Hai Mera Naam Abbas
Hai Mera Naam Abbas

Agar Hai Bechaini
Agar Hai Bezaari
Agar Hai Majboori
Ya Ho Pareshani
Main Hun Sahara
Main Hun Tumhara
Jis Nay Pukara Abbas
Hai Mera Naam Abbas

Meray Azadaro
Kabhi Na Ghabrao
Hai Mera Naam Abbas
Hai Mera Naam Abbas

Koi Bhi Ho Haajat
Ya Koi Ho Hasrat
Bab E Hawayej Hun
Kabhi Tarhapna Mat
Naam E Madad Hun
Balaa Ki Radd Hun
Main Bhi Asad Hun Abbas
Hai Mera Naam Abbas

Meray Azadaro
Kabhi Na Ghabrao
Hai Mera Naam Abbas
Hai Mera Naam Abbas

Ghamon Mein Mat Doobo
Har Dard Ko Bhoolo
Har Aik Uljhan Ko
Abbas Par Chorho
Dill Say Pukaro
Aas Lagao
Mujhay Bulao Abbas
Hai Mera Naam Abbas

Meray Azadaro
Kabhi Na Ghabrao
Hai Mera Naam Abbas
Hai Mera Naam Abbas

Agar Udaas Hai Dill
Ya Ho Koi Mushkil
Tumhari Jo Manzil
Na Hoti Ho Haasil
Kabhi Na Rona
Abbas Hai Na
Yeh Yad Rakhna Abbas
Hai Mera Naam Abbas

Meray Azadaro
Kabhi Na Ghabrao
Hai Mera Naam Abbas
Hai Mera Naam Abbas

Ho Sakht Beemari
Ya Qarz Ho Bhaari
Na Ho Woh Mayoosi
Pukaaro Ya Ghazi
Tu Darr Py Aa Ja
Main Hun Sahara
Hai Mera Waada Abbas
Hai Mera Naam Abbas

Meray Azadaro
Kabhi Na Ghabrao
Hai Mera Naam Abbas
Hai Mera Naam Abbas

Suno Azadaro
Suno Wafadaro
Ay Meray Aaqa Kay
Azeem Ghamkhuaaro
Main Thaam Lun Ga
Saya Banun Ga
Na Chorh Dun Ga Abbas
Hai Mera Naam Abbas

Meray Azadaro
Kabhi Na Ghabrao
Hai Mera Naam Abbas
Hai Mera Naam Abbas

Mera Jo Raiti Par
Bazu Bina Munh Par
Tha Aankh Mein Jo Teer
Chala Gaya Andar
Dard Sy Zyada
Dill Ko Sataya
Bachon Ka Rona Abbas
Hai Mera Naam Abbas

Meray Azadaro
Kabhi Na Ghabrao
Hai Mera Naam Abbas
Hai Mera Naam Abbas

Woh Shaam Ka Manzar
Sar Mera Naizay Par
Beghairati Ki Hadd
Zainab Thi Bey Chadar
Ashk Bahaya
Sar Ko Giraya
Naa Dekh Paya Abbas
Hai Mera Naam Abbas

Meray Azadaro
Kabhi Na Ghabrao
Hai Mera Naam Abbas
Hai Mera Naam Abbas

Wafa Ka Hun Maa’ani
Haider Ka Hun Saani
Furaat Hai Meri
Qasam Say Tejani
Dar E Dua Hun
Dar E Shifa Hun
Dar E Ataa Hun Abbas
Hai Mera Naam Abbas

Meray Azadaro
Kabhi Na Ghabrao
Hai Mera Naam Abbas
Hai Mera Naam Abbas

Ya Ghazi Ya Maula

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply