Reciter: Farhan Ali Waris
Fatima Zehra Fatima Zehra Fatima Zehra
Haye Mazlooma Fatima Zehra
Jaisay Sadmay Aap Bibi
Seh Gaiin Baba Ky Bin
Gar Yeh Parh Jatay Dinon Par
Misl E Shab Ho Jatay Din
Haye Masooma Fatima Zehra
Haye Mazlooma Fatima Zehra
Hai Laqab Seedi Qateera
Jantay Thay Yeh Sabhi
Zulm Ky Darbar Mein Tu
Phir Bhi Jhutlai Gai
Haq Nahi Paya Fatima Zehra
Haye Mazlooma Fatima Zehra
Teray Dar Par Khud Risalat
Jhuk Ky Karti Thi Salam
Phir Bhi Ummat Nay Na Samjha
Tera Mansab Aur Maqam
Dar Jala Dala Fatima Zehra
Mit Nahi Paya Tha Bibi
Bap Ka Gham Qalb Say
Gham Naya Ek Mil Gaya Hai
Qatl E Mohsin Ka Tujhay
Qalb Rota Tha Fatima Zehra
Haye Mazlooma Fatima Zehra
Waqt E Nazaa Apnay Wali
Say Yehi Faryad Ki
Aap Ki Khidmat Jo Poori
Kar Na Pai Ya Ali
Yun Hai Sharminda Fatima Zehra
Haye Mazlooma Fatima Zehra
Baad Meray Pyar Say
Bachon Ko Rakhna Ya Ali
Na Kabhi Mehsoos Honay
Dena Madar Ki Kami
Ab Chali Dukhiya Fatima Zehra
Haye Mazlooma Fatima Zehra
Shab Ki Tareeki Mein Maiyat
Ko Meri Lay Jana Tum
Zalimon Ko Meri Maiyat
Par Na Anay Dena Tum
Ho Gi Mehw E Buka Fatima Zehra
Haye Mazlooma Fatima Zehra
Baad Meray Karbala Mein
Sheh Ki Nusrat Kay Liye
Ya Ali Ek Farzand
Abbas Hona Chahiye
Mangti Hai Dua Fatima Zehra
Haye Mazlooma Fatima Zehra
Zakhmi Pehloo Ko Sambhalay
Zabt E Gham Kis Tarha Ho
Janay Kiun Hasrat Say Daikha
Karti Hain Shabbir Ko
Sochti Hain Kya Fatima Zehra
Haye Mazlooma Fatima Zehra
Seena E Shabbar Ko Chooma
Aur Gala Shabbir Ka
Chooma Kay Zainab Ky Bazu
Ro Parhi Bey Sakhta
Kya Khayal Aaya Fatima Zehra
Haye Mazlooma Fatima Zehra
Kehti Hai Fizza Say Bibi
Ay Kaneez E Bawafa
Teray Zimmay Zainab O
Kulsoom Ko Mainy Kiya
Roti Hain Fizza Fatima Zehra
Haye Mazlooma Fatima Zehra
Khana E Haider Mein Barpa
Ek Qayamat Ho Gai
Waqt Woh Aya Keh Bibi
Ki Shahadat Ho Gai
Arsh Tharraya Fatima Zehra
Haye Mazlooma Fatima Zehra
Zainab O Kulsoom O Fizza
Shabbr O Haider Yahan
Door Konay Mein Kharhay
Shabbir Rotay Hain Wahan
Majra Hai Kya Fatima Zehra
Haye Mazlooma Fatima Zehra
Bolay Haider Waqt E Rukhsat
Maan Ko Kya Rulwayen Gay
Bolay Sheh Amman Bulayen
Gi Hamen To Ayen Gay
Ro Parhi Jo Suna Fatima Zehra
Haye Mazlooma Fatima Zehra
Sun Ky Awaz E Shah E Deen
Khul Gaye Band E Kafan
Boliin Bibi Hath Utha Kay
Aa Meray Gul Pairahan
Day Rahi Hai Sada Fatima Zehra
Haye Mazlooma Fatima Zehra
Aik Na Ek Din Banay Ga
Marqad E Veeran Bhi
Daikhnay Ayen Gay Bibi
Mazhar O Farhan Bhi
Aap Ka Roza Fatima Zehra
Haye Mazlooma Fatima Zehra