Reciter: Farhan Ali Waris

Hussain Hussain
Maqtal Mein Jab Hussain Pay Khanjar Rawan Hua
Zainab Thi Aik Rait Ky Teelay Pay Gham Zada

Kartay Thay Bayn Arz O Sama Waa Museebata
Marqad Mein Apnay Khak Urhatay Thay Mustafa

Jalti Zameen Pay Bayn Yeh Karti Thi Sayeda
Ro Ro Ky Ahl E Sham Say Kehti Thi Sayeda

Ro Ro Ky Ahl E Sham Say Kehti Thi Sayeda
Haye Mere Hussain Pay Kya Waqt Aa Gaya

Haye Mere Hussain Pay Kya Waqt Aa Gaya

Ghar Fatima Ka Loot Liya Faoj E Sham Nay
Loota Hai Kis Nay Ummat E Khair Ul Anaam Nay
Pyasi Nabi Ki Aal Thi Dariya Kay Samnay
Din Bhar Uthaiin Maiyaten Shah E Anaam Nay
Peer O Jawaan Qurban Kiye Tishna Gaam Nay
Aya Nahi Koi Bhi Meray Bachay Ko Thamnay
Sabr O Riza Ky Saray Imtehan Day Gaya

Ya Hussain Ya Hussain…

Haye Meray Hussain Py Kya Waqt Aa Gaya

Ya Hussain Ya Hussain…

Ek Sar Ajal Nay Manga Bahattar Fida Kiye
Ashaab E Bawafa Tahay Khanjar Fida Kiye
Palay Huye Sab Goud Ky Hans Kar Fida Kiye
Zainab Ky Do Haseen Gul E Tar Fida Kiye
Jaon O Habib O Hurr Say Baradar Fida Kiye
Deen E Khuda Py Akbar O Asghar Fida Kiye
Dagh E Judai Qasim O Abbas Ka Mila

Ya Hussain Ya Hussain…

Haye Meray Hussain Py Kya Waqt Aa Gaya

Ya Hussain Ya Hussain…

Kya Haq Rasool E Pak Ka Tu Nay Ada Kiya
Har Zulm Ko Hussain Pay Tum Nay Rawa Kiya
Lekin Mere Hussain Nay Daikho To Kya Kiya
Jo Wada Bachpanay Mein Kiya Tha Wafa Kiya
Karbobala Ki Khak Ko Khak E Shifa Kiya
Jalti Zameen Pay Shukar Ka Sajda Ada Kiya
Mazloomiyat Ki Sari Haden Paar Kar Gaya

Ya Hussain Ya Hussain…

Haye Meray Hussain Py Kya Waqt Aa Gaya

Ya Hussain Ya Hussain…

Banjar Zameen Ki Shan Barhai Hussain Nay
Teeron Ki Jaa Namaz Bichai Hussain Nay
Aisi Namaz Ban Mein Parhai Hussain Nay
Taigh O Tabar Ki Pyaas Bhujai Hussain Nay
Toheed Apnay Khoon Say Bachai Hussain Nay
Bayat Ki Qabr Ban Mein Banai Hussain Nay
Nok E Sinaan Pay Bolta Quran Ho Gaya

Ya Hussain Ya Hussain…

Haye Meray Hussain Py Kya Waqt Aa Gaya

Ya Hussain Ya Hussain…

Hai Teen Shab O Roz Ka Pyasa Mera Hussain
Nargha Tha Sitam Gaaron Ka Tanha Mera Hussain
Tanha Har Ek Shaheed Ko Roya Mera Hussain
Zakhmon Say Jab Keh Choor Hua Tha Mera Hussain
Ghorhay Say Tha Zameen Pay Aya Mera Hussain
Na Zeen Na Zameen Pay Thehra Mera Hussain
Bas Sajda E Tazeem Mein Sar Ko Jhuka Diya

Ya Hussain Ya Hussain…

Haye Meray Hussain Py Kya Waqt Aa Gaya

Ya Hussain Ya Hussain…

Asghar Ki Qabr Khod Ky Roti Thi Zulfiqar
Kitna Neyaam E Sabr Mein Kaanpi Thi Zulfiqar
Zainab Ki Tarah Soag Mein Rehti Thi Zulfiqar
Go Keh Adoo Ky Khoon Ki Pyasi Thi Zulfiqar
Hawa Mein Asar Naam Say Nikli Thi Zulfiqar
Yeh Faoj E Bey Murad Say Kehti Thi Zulfiqar
Ab Us Ki Jang Daikho Jo Barbaad Ho Gaya

Ya Hussain Ya Hussain…

Haye Meray Hussain Py Kya Waqt Aa Gaya

Ya Hussain Ya Hussain…

Jhapta Sipah E Sham Py Yeh Keh Ky Pur Malaal
Ab Us Ki Jang Daikho Jo Sadmon Say Hai Nidhal
Main Faoj E Na Muraad Sar Karta Hun Ek Sawaal
Mujrim Tumhara Main Tha Ya Bano Ka Nonihaal
Akbar Say Nojawan Ka Tum Nay Kiya Qitaal
Qasim Ki Lash Ghorhon Say Ki Tum Nay Payemaal
Ab Us Ki Jang Daikho Jo Lashay Utha Chuka

Ya Hussain Ya Hussain…

Haye Meray Hussain Py Kya Waqt Aa Gaya

Ya Hussain Ya Hussain…

Tum Kya Samajh Rahay Thay Keh Ghar Ko Ujarh Kar
Qasim Say Nojawan Pay Ghorhay Guzaar Kar
Akbar Ky Dill Mein Zulm Ki Barchi Utar Kar
Bayat Milay Gi Teer Say Asghar Ko Maar Kar
Main Mutmain Hun Deen Pay In Sab Ko Waar Kar
Nok E Sinaan Pay Sar Mera Rakho Gay Sar Par
Goonjay Gi Kayenaat Mein Har Samt Ek Sada

Ya Hussain Ya Hussain…

Haye Meray Hussain Py Kya Waqt Aa Gaya

Ya Hussain Ya Hussain…

Farhan Ho Ya Mazhar Abidi
Detay Hain Is Jahan Ko Paigham Bas Yehi
Yeh Jo Gali Gali Mein Hai Lashen Bichi Hui
Har Waqt Kay Yazeed Ki Koshish Aj Bhi
Mit Jaye Is Jahan Say Majlis Hussain Ki
Wada Magar Hussain Ki Madar Say Hai Yehi
Jan Day Kay Kartay Jayen Gay Matam Hussain Ka

Ya Hussain Ya Hussain…

Haye Meray Hussain Py Kya Waqt Aa Gaya

Ya Hussain Ya Hussain…

Ya Hussain
Ya Janab E Sayeda
Aaye Hain Pursay Ko Hum
Ya Ali E Murtaza
Aaye Hain Pursay Ko Hum
Sayed E Abrar Kay
Aye Hain Pursay Ko Hum
Shah Kay Ansaar Kay
Aye Hain Pursay Ko Hum
Shah Kay Alamdar Kay
Aye Hain Pursay Ko Hum
Akbar E Zee Jaah Kay
Aye Hain Pursay Ko Ham
Qasim E No Shah Kay
Aye Hain Pursay Ko Ham
Aon O Muhammad Kay Bhi
Aye Hain Pursay Ko Hum
Bali Sakina Kay Bhi
Aye Hain Pursay Ko Ham
Asghar Masoom Kay
Aye Hain Pursay Ko Ham
Shahzadi E Kulsoom Kay
Aye Hain Pursay Ko Ham
Zainab E Nashad Kay
Aye Hain Pursay Ko Hum
Han Sayed E Sajjad Kay
Aye Hain Pursay Ko Hum

Ya Janab E Sayeda
Aap Ka Ghar Lut Gaya

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply