Reciter: Mir Hasan Mir

Al Ajal Al Ajal

Ay Yousuf E Zahra

Phir Baqaiya Ko Hum Baneingy
Jab Imam E Zamana Ayen Gy

Qabr E Zahra Ki Ho Gi Jab Tameer
Anbiya Sab Bulaye Jayen Gy

Phir Baqaiya Ko Hum Baneingy

Sehn E Ummul Baneen Ky Andar
Pani Pyason Ko Hum Pilayen Gay

Phir Baqaiya Ko Hum Baneingy

Qabr E Beemar E Karbala Ky Qareeb
Aik Sehn E Shifa Banayen Gy

Phir Baqaiya Ko Hum Baneingy

Ishq E Baqir Mein Aur Sadiq Mein
Aik Dar Ul Qalam Banayen Gay

Phir Baqaiya Ko Hum Baneingy

Yad E Qasim Mein Qabr E Shabbar Par
Aansoo’on Ky Diye Jalayen Gy

Phir Baqaiya Ko Hum Baneingy

Hum Baqaiya Mein Misl E Bab E Jawad
Barah (12) Bab E Karam Banayen Gy

Phir Baqaiya Ko Hum Baneingy

Apny Mola Hasan Ka Dastar Khuwan
Zayeron Ky Liye Bichayen Gay

Phir Baqaiya Ko Hum Baneingy

Qabr E Zahra Py Parcham E Abbas
Khud Imam E Zaman Lagayen Gy

Phir Baqaiya Ko Hum Baneingy

Han Baqaiya Mein Phir Takallum O Shams
Kafash Bardari Karny Jayen Gy

Phir Baqaiya Ko Hum Baneingy

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply