Reciter: Farhan Ali Waris
Sham Haye Sham Haye Sham Haye Sham
Haye Sham Ki Galiyan Aai Hain
Naizon Pay Shaheedon Kay Sar Hain
Beemar Bhi Chalta Jata Hai
Haye Sham Ki Galiyan Aai Hain
Zanjeer Ulajh Kar Pairon Say
Kehti Hai Yeh Gham Ky Maron Say
Kuch Dair Mein Pathar Barsen Gay
Isi Shehar Ky Bala Khanon Say
Sajjad Ka Dill Ghabrata Hai
Haye Sham Ki Galiyan Aai Hain
Bey Ghar Hai Musafir Bey Chadar
Hai Kitni Aziyat Ka Yeh Safar
Bazu Hain Bandhay Maan Behnon Kay
Sar Baap Chacha Ky Khoon Mein Tar
Beemar Bahut Sharmata Hai
Haye Sham Ki Galiyan Aai Hain
Ek Rassi Hai Aur Barah Galay
Yeh Qafilay Akhir Kaisay Chlaay
Jalti Hai Zameen Kanton Say Bhari
Ronay Lagay Pairon Kay Chalay
Khoon Zakhmon Say Rista Jata Hai
Haye Sham Ki Galiyan Aai Hain
Kothon Py Tamashai Hain Kharhay
Aur Shaam Ky Baam O Darr Hain Sajay
Ummat Hai Nabi Ki Char Taraf
Parhti Hai Nabi Zadi Khutbay
Aur Ashk Falak Barsata Hai
Haye Sham Ki Galiyan Aai Hain
Darbar Ka Dar Nazdeek Aya
Bazar E Sitam Ab Khatm Aya
Kuch Dair Aseeron Ko Roko
Yeh Hukm E Yazeedi Hai Aya
Darbar Sajaya Jata Hai
Haye Sham Ki Galiyan Aai Hain
Darbar E Sitam Ki Araish
Aur Takht E Laeen Ki Zaibaish
Jab Ho Chuki Poori Tab Ja Kar
Badkaar Nay Ki Yeh Farmayesh
Lo Jashan Manaya Jata Hai
Haye Sham Ki Galiyan Aai Hain
Ba Parda Kaneezen Bethi Hain
Sayedanian Sari Roti Hain
Fizza Ko Bana Kar Jab Parda
Zahra Ki Betiyan Chupti Hain
Sajjad Ko Ghash Aa Jata Hai
Haye Sham Ki Galiyan Aai Hain
Zalim Nay Ajab Yeh Kam Kiya
Zainab Ka Achanak Naam Liya
Ghabra Ky Ali Ki Beti Nay
Hathon Say Jigar Ko Thaam Liya
Abid Ko Jalal Aa Jata Hai
Haye Sham Ki Galiyan Aai Hain
Zanjeer Chatakh Kar Toot Gai
Beemar Nay Ek Angrhai Jo Li
Darbar E Sitam Mein Shor Utha
Kya Aaj Najaf Say Aye Ali
Ya Waqt E Qayamat Ata Hai
Haye Sham Ki Galiyan Aai Hain
Rehan Fughan Thi Abid Ki
Daikhay Na Museebat Aisi Koi
Jo Hum Nay Museebat Daikhi Hai
Daikhi Na Museebat Nay Bhi Kabhi
Woh Waqt Mujhay Tarhpata Hai
Haye Sham Ki Galiyan Aai Hain
Sham Haye Sham Haye Sham Haye Sham