Reciter: Nadeem Sarwar
Haye Shaam Ka Bazaar
Sajjad Sy Rony Ka Sabab Pooch Raha Hai
Haye Sham Ka Bazaar
Jo Shaam Mein Guzri Hai Woh Sab Pooch Raha Hai
Haye Shaam Ka Bazaar
Do Lakh Tamashai Bey Parda Phuphi Behnen
Kaisy Na Laho Royen Beemar Ki Phir Ankhen
Is Gham Ki Aziyat Ny Usy Mar Diya Hai
Haye Shaam Ka Bazaar
Kis Tarah Qaraar Aye Bemar Ko Ay Logo
Sar Naizon Py Pyaron Ky Aty Hain Nazar Jis Ko
Bey Jurm Musafir Ki Yeh Kaisi Saza Hai
Haye Shaam Ka Bazaar
Ankhon Sy Hai Khoon Jari Gham Khuwar Hai Beemari
Zanjeer Hai Pairon Mein Aur Taoq Bhi Hai Bhaari
Jalti Hai Zameen Sari Aur Garm Hawa Hai
Haye Shaam Ka Bazaar
Jageer Nahi Mangi Zanjeer Nahi Badli
Saye Mein Nahi Betha Poshak Nahi Badli
Maan Behnon Ki Khatir Woh Rida Mang Raha Hai
Haye Shaam Ka Bazaar
Zindaan Ky Masayeb Bhi Har Waqt Rulaty Hain
Ashkon Ko Magar Apny Zainab Sy Chupaty Hain
Mar Jaye Na Zainab Yeh Kahin Soch Raha Hai
Haye Shaam Ka Bazaar
Zindan Sy Riha Ho Ky Zindan Mein Hai Sajjad
Ek Nanhi Si Turbat Jo Wahan Karti Hai Faryad
Mar Kar Bhi Rahun Qaid Mein Kya Meri Khata Hai
Haye Shaam Ka Bazaar
Yeh Zakhm Bhi Sajjad Ko Jeenay Nahi Deta
Zakhmon Sy Sakina Ky Jo Chipka Raha Kurta
Woh Khoon Bhara Kurta Hi Kafan Us Ka Bana Hai
Haye Shaam Ka Bazaar
Bazar Mein Darbar Mein Zindan Mein Roye
Chalees Baras Maot Ky Armaan Mein Roye
Rehan Mera Mola Tarhapta Hi Raha Hai
Haye Shaam Ka Bazaar
Sajjad Sy Rony Ka Sabab Pooch Raha Hai
Haye Sham Ka Bazar
Jo Sham Mein Guzri Hai Woh Sab Pooch Raha Hai
Haye Sham Ka Bazar