Khairilamal

Sajda Hussain Jaisa Lyrics Dasta E Imamia Atir Haider Noha Muharram 2021

Reciter: Dasta e Imamia
Recitation Type: Noha
Year: 2021

Sajda Hussain Jaisa Lyrics in Urdu and English text recited by Dasta E Imamia Noha Khuwan Atir Haider in Muharram 2021.

Sajda Hussain Jaisa Lyrics in English text

Hayya Ala Salah
Hayya Alal Hussain

Rooh E Namaz Kya Hai Sajda Hussain Jaisa
Ho Maqsad E Ibadat Mola Hussain Jaisa

Rooh E Namaz Kya Hai Sajda Hussain Jaisa

Jhukna Kabhi Na Logo Ahl E Jafa Ky Aagy
Insan Sar Jhukaye Bas Kibriya Ky Aagy
Ho Hosla Tumhara Aaqa Hussain Jaisa
Rooh E Namaz Kya Hai Sajda Hussain Jaisa

Jin Ki Ibadaton Mein Mairaj Bandagi Hai
Jin Ki Dua Ka Mehwar Mabood Ki Khushi Hai
Woh Log Chahty Hain Rasta Hussain Jaisa
Rooh E Namaz Kya Hai Sajda Hussain Jaisa

Woh Rooh E Zindagi Hai Woh Rooh E Bandagi Hai
Meezan E Akhirat Mein Jaan E Amal Wohi Hai
Ho Paishwa Yahan Par Jis Ka Hussain Jaisa
Rooh E Namaz Kya Hai Sajda Hussain Jaisa

Jaisi Parhi Namazen Ansar E Karbala Ny
Aisi Namaz Dekhi Kab Arz E Nainawa Ny
Tha In Namazion Ka Jazba Hussain Jaisa
Rooh E Namaz Kya Hai Sajda Hussain Jaisa

Quran Goonjta Tha Us Lab Ki Ayaton Mein
Naizey Py Sar Bulandi Us Ki Tilawaton Mein
Dekha Na Phir Kisi Ny Lehja Hussain Jaisa
Rooh E Namaz Kya Hai Sajda Hussain Jaisa

Mola Ky Nasiron Mein Ho Jin Ka Naam E Nami
Un Ki Hussainiat Ko Dy Karbala Salami
Ek Ek Amal Ho Un Ka Sara Hussain Jaisa
Rooh E Namaz Kya Hai Sajda Hussain Jaisa

Aaqa Ka Har Namazi Taighon Mein Dill Jhukaye
Maqtal Mein Ja Namazen Jin Ka Lahoo Bichaye
Jeena Hussain Jaisa Marna Hussain Jaisa
Rooh E Namaz Kya Hai Sajda Hussain Jaisa

Naizon Ky Waar Khana Teeron Ky Zakhm Sehna
Dariya Sy Door Ho Kar Pyason Ky Sath Rehna
Dekha Na Karbala Ny Pyasa Hussain Jaisa
Rooh E Namaz Kya Hai Sajda Hussain Jaisa

Jari Hai Har Sadi Mein Ab Bhi Payam Us Ka
Marny Ky Baad Bhi Hai Honton Py Naam Us Ka
Aalam Mein Kon Ho Ga Zinda Hussain Jaisa
Rooh E Namaz Kya Hai Sajda Hussain Jaisa

Us Shan Ki Aqaamat Ham Bhi Hilal Seekhen
Ay Kash Woh Ibadat Ham Bhi Hilal Seekhen
Ham Bhi Karen Dua Mein Giriya Hussain Jaisa
Rooh E Namaz Kya Hai Sajda Hussain Jaisa

Hayya Ala Salah
Hayya Alal Hussain
Hayya Ala Salah
Hayya Alal Hussain

Support us by sharing our content as much as you can.

Did you find what you were looking for? If not, try searching.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *