Reciter: Nadeem Sarwar

Meri To Aas Meray Seenay Mein Mar Jati Hai
Daikhen Is Qaid Say Kab Milti Hai Rukhsat Amman

Haye Zindan E Sham

Bey Kasi Kaisi Hai Yeh Kaisi Yeh Ghurbat Amman
Kya Banay Gi Isi Zindan Mein Turbat Amman
Kehna Baba Say Khuda Hafiz O Nasir Baba
Lo Keh Ab Hoti Hun Zindan Say Rukhsat Amman

Haye Zindan E Sham

Ab To Din Mein Bhi Ujalon Say Mulaqat Nahi
Jo Tarhap Kar Na Guzari Ho Koi Rat Nahi
Kya Karun Jee Ky Chacha Meray Meray Sath Nahi
Do Dua Khatm Ho Ab Jald Museebat Amman

Haye Zindan E Sham

Ab Sar E Sham Parindon Pay Nazar Jati Hai
Kaisi Makhlooq Hai Urhtay Huye Ghar Jati Hai
Meri To Aas Mery Seenay Mein Mar Jati Hai
Daikhen Is Qaid Say Kab Milti Hai Rukhsat Amman

Haye Zindan E Sham

Tum Mili Kaprhon Ko Ay Amman Bana Dena Kafan
Ho Nahi Saktay Yeh Tabdeel Keh Zakhmi Hai Badan
Baba Aa Jayen To Keh Dena Unhen Mera Sukhan
Apnay Baba Ki Na Kar Pai Main Khidmat Amman

Haye Zindan E Sham

Meray Baba Ka Woh Seena Meri Amman La Do
Jo Tha Jeenay Ka Qareena Meri Amman Laa Do
Jo Tha Aram E Sakina Meri Amman Laa Do
Is Say Pehlay Keh Ho Ab Maot Say Qurbat Amman

Haye Zindan E Sham

Ho Sakay To Ali Asghar Ka Woh Jhoola Laa Do
Amman Bhaiya Ka Meray Mujh Ko Shalooka Laa Do
Woh Jo Taweez Tha Mannat Ka Khudara Laa Do
Mujh Ko Phir Marnay Mein Howay Gi Na Diqqat Amman

Haye Zindan E Sham

Khair Jao Keh Khuda Hafiz O Nasir Amman
Sath Deti Nahi Ab Bali Sakina Ki Zubaan
Keh Do Zalim Say Keh Ab Khatm Hui Aah O Fughan
Aah Karnay Ki Bhi Baki Nahi Taqat Amman

Haye Zindan E Sham

Lab E Sarwar Pay Jo Rehan Ka Noha Aaya
Sham Ky Zindaan Say Anay Lagi Awaz E Buka
Jaisay Bachi Ka Koi Zakhm Hua Phir Taza
Boli Kiun Ahl E Aza Kartay Hain Riqqat Amman

Haye Zindan E Sham

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply