Reciter: Nadeem Sarwar

Kehti Thi Zainab Keh Hai Nana Khabar
Ho Gaya Pardais Mein Barbad Ghar
Aai Hun Pursay Ky Liye Qabr Par
Ho Gaya Pardais Mein Barbad Ghar

Kaisay Sunaun Main Woh Sab Waqiya
Pahunchay Hain Jis Tarah Say Hum Karbala
Ummat E Aasi Nay Sitam Kya Kiya
Nehr Say Khaimon Ko Hataya Gaya
Nargha Kiya Ashqiya Nay Aan Kar
Ho Gaya Pardais Mein Barbad Ghar

Kehti Thi Zainab Keh Hai Nana Khabar
Ho Gaya Pardais Mein Barbad Ghar

Ghair Liya Ashqiya Nay Aan Kar
Ghairay Huye Ghaat Ko Zalim Thay Sab
Us Ki Waja Say Hua Ranj O Ta’ab
Pyas Say Masoom Huye Jaan Balab
Khaimay Mein Tha Shor O Buka Kis Qadar
Ho Gaya Pardais Mein Barbad Ghar

Kehti Thi Zainab Keh Hai Nana Khabar
Ho Gaya Pardais Mein Barbad Ghar

Ho Gai Ashoor Ki Subh E Ayaan
Nana Sunen Gay Karun Aagay Bayan
Bhai Nay Akbar Say Kaha Do Azaan
Bhoolay Gi Zainab Na Kabhi Woh Samaan
Hashr Say Woh Kam Na Thi Nana Sahar
Ho Gaya Pardais Mein Barbad Ghar

Kehti Thi Zainab Keh Hai Nana Khabar
Ho Gaya Pardais Mein Barbad Ghar

Laila Ka Ek Beta Tha Aisa Jawan
Aap Ka Ho Jata Tha Jis Par Guman
Murra Nay Ek Seenay Pay Mari Sinaan
Tukrhay Jigar Ho Gaya Bhooli Na Maan
Bethi Hai Woh Dekhiye Thamay Jigar
Ho Gaya Pardais Mein Barbad Ghar

Kehti Thi Zainab Keh Hai Nana Khabar
Ho Gaya Pardais Mein Barbad Ghar

Bey Kasi Us Waqi Thi Kitni Mudaam
Jab Diya Akbar Nay Yeh Ran Sy Payam
Ya Abata Alaika Minni Salam
Thokaren Khatay Chalay Ran Ko Imam
Sadmay Say Majrooh Tha Noor E Nazar
Ho Gaya Pardais Mein Barbad Ghar

Kehti Thi Zainab Keh Hai Nana Khabar
Ho Gaya Pardais Mein Barbad Ghar

Haye Woh Qasim Mera Ibne Hasan
Jis Ka Kiya Ghorhon Nay Tukrhay Badan
Bandh Ky Gathri Mein Woh Pamal Tann
Laye Buka Kartay Yeh Shah E Zaman
Daikho Yeh Bhabhi Mera Tukrhay Jigar
Ho Gaya Pardais Mein Barbad Ghar

Kehti Thi Zainab Keh Hai Nana Khabar
Ho Gaya Pardais Mein Barbad Ghar

Nana Woh Mehshar Say Gharhi Kam Na Thi
Bhai Say Abbas Nay Rukhsat Jo Li
Baba Ki Talqeen Bhi Yad Aa Gai
Sar Say Rida Ab Meri Chin Jaye Gi
Bazuon Pay Dali Mukarrar Nazar
Ho Gaya Pardais Mein Barbad Ghar

Kehti Thi Zainab Keh Hai Nana Khabar
Ho Gaya Pardais Mein Barbad Ghar

Haye Woh Abbas Mera Bawafa
Ban Ky Beheshti E Sakina Chala
Nehr Say Mashkeezay Mein Pani Bhara
Ata Tha Dariya Say Sooye Khaima Gaah
Ghaira Laeenon Nay Ali Ka Pisar
Ho Gaya Pardais Mein Barbad Ghar

Kehti Thi Zainab Keh Hai Nana Khabar
Ho Gaya Pardais Mein Barbad Ghar

Nofal E Maloon Nay Dhai Jafa
Dahena Bazu Kiya Tan Say Juda
Chup Say Hakeem Haye Kuch Aisay Barha
Bayan Bhi Jarrar Ka Bazu Kata
Hurmula Ka Teer Laga Mashk Par
Ho Gaya Pardais Mein Barbad Ghar

Kehti Thi Zainab Keh Hai Nana Khabar
Ho Gaya Pardais Mein Barbad Ghar

Kar Diya Ammal Nay Ek Chup Ky Waar
Gurz Lagaya Keh Hua Sar Figaar
Girtay Huye Di Yeh Sada Aik Bar
Ya Akha Adrik Keh Main Hun Sharmsar
Ho Gaya Abbas Ka Do Parah Sar
Ho Gaya Pardais Mein Barbad Ghar

Kehti Thi Zainab Keh Hai Nana Khabar
Ho Gaya Pardais Mein Barbad Ghar

Aon O Muhammad Ka Karun Tazkira
Bhai Py Un Dono Ko Sadqa Kiya
Kaisay Ho Abdullah Ka Ab Samna
Poochen Jo Un Ko To Kahun Un Say Kya
Mujh Say Khafa Ho Gaye Dono Pisar
Ho Gaya Pardais Mein Barbad Ghar

Kehti Thi Zainab Keh Hai Nana Khabar
Ho Gaya Pardais Mein Barbad Ghar

Teen Shab O Roz Say Tha Tashna Lab
Asghar E Bey Sheer Hua Jan Balab
Us Py Hua Nana Yeh Haye Ghazab
Khushk Hua Doodh Bhi Madar Ka Sab
Hurmula Nay Chaida Hamara Jigar
Ho Gaya Pardais Mein Barbad Ghar

Kehti Thi Zainab Keh Hai Nana Khabar
Ho Gaya Pardais Mein Barbad Ghar

Nana Yeh Sab Ghotay Jafa Daikha Ki
Qalb Ko Meray Abhi Taskeen Thi
Sar Py Hai Baki Abhi Sibt E Nabi
Itnay Mein Awaz E Biradar Suni
Alwida Ab Kartay Hain Hum Bhi Safar
Ho Gaya Pardais Mein Barbad Ghar

Kehti Thi Zainab Keh Hai Nana Khabar
Ho Gaya Pardais Mein Barbad Ghar

Qalb Py Kya Guzri Yeh Sun Ky Bayan
Nazron Mein Tareek Huye Do Jahan
Bandh Gai Sayedanion Ki Hichkiyan
Khaimon Say Uthnay Laga Shor O Fughan
Kuch Nahi Ata Tha Kisi Ko Nazar
Ho Gaya Pardais Mein Barbad Ghar

Kehti Thi Zainab Keh Hai Nana Khabar
Ho Gaya Pardais Mein Barbad Ghar

Ho Gaya Sooraj Ko Yakayak Gahan
Khoon Ugalnay Laga Charkh E Kohan
Zalzalay Say Farsh Py Kanpa Badan
Daikhti Thi Khaimay Ky Dar Say Bahan
Shimr Nay Kata Meray Bhai Ka Sar
Ho Gaya Pardais Mein Barbad Ghar

Kehti Thi Zainab Keh Hai Nana Khabar
Ho Gaya Pardais Mein Barbad Ghar

Naizay Pay Sar Kaat Ky Sheh Ka Rakha
Lashay Ko Pamal Jafa Say Kiya
Khaimon Mein Phir Aa Gaye Sab Ashqiya
Raandon Ka Sab Zaiwar O Zarr Lay Liya
Cheeni Rida Khaima Har Ek Phoonk Kar
Ho Gaya Pardais Mein Barbad Ghar

Kehti Thi Zainab Keh Hai Nana Khabar
Ho Gaya Pardais Mein Barbad Ghar

Aag Ky Woh Shoalay Thay Keh Al Amaan
Rokta Tha Sans Ko Har Dam Dhuwan
Khaimay Mein Sajjad Mera Natawan
Shiddat E Tapp Say Tha Parha Neem Jaan
Jal Gaya Hota Jo Na Leti Khabar
Ho Gaya Pardais Mein Barbad Ghar

Kehti Thi Zainab Keh Hai Nana Khabar
Ho Gaya Pardais Mein Barbad Ghar

Bhai Ka Baqi Tha Yehi Ek Nishan
Martay Thay Us Ko Adoo Sayliyan
Aal E Muhammad Ko Nahi Thi Amaan
Dhatay Thay Har Zulm Adoo Bey Karan
Balwa E Ahdaa Mein Thay Hum Nangay Sar
Ho Gaya Pardais Mein Barbad Ghar

Kehti Thi Zainab Keh Hai Nana Khabar
Ho Gaya Pardais Mein Barbad Ghar

Koi Anees Apna Wahan Par Na Tha
Zulm O Jafa Say Jo Unhen Rokta
Bali Sakina Kay Laeen Roosiya
Khainch Kay Kaanon Say Gohar Lay Gya
Khoon Say Sab Kurta Hua Us Ka Tarr
Ho Gaya Pardais Mein Barbad Ghar

Kehti Thi Zainab Keh Hai Nana Khabar
Ho Gaya Pardais Mein Barbad Ghar

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply