Reciter: Nadeem Sarwar

Aain Jo Ley Kay Goud Mein Shabbir Ko Batool
Bachay Ko Daikha Khush Huye Phir Ro Diye Rasool
Zehra Nay Poocha Aap Huye Kis Liye Malool
Bolay Rasool Mujh Pay Wahi Ka Hua Nazool

Zehra Suno Main Khush Hua Yeh Deen Bachaye Ga
Rota Hun Tanha Dasht Mein Yeh Mara Jaye Ga
Zehra Tarhap Ky Boli Keh Baba Yeh Kya Kaha
Yun Qatl Ho Ga Dasht Mein Tanha Yeh Meh Laqa

Bolay Rasool Koi Na Ho Ga Bajuz Khuda
Ek Qaom Aisi Khalq Karay Gi Teri Dua
Matam Karen Gi Bibiyan Bachay Na Soyen Gay
Afraad Es Qabilay Kay Ta Hashr Royen Gay

Hum Hi Wohi Qabila
Hum Hi Wohi Hain Log
Hum Hi Wohi Hain Log

Matam Nishan Hamara
Matam Nishan Hamara
Majlis Hamari Soch
Hum Hi Wohi Hain Log

Hum Hi Wohi Qabila
Hum Hi Wohi Hain Log
Hum Hi Wohi Hain Log

Woh Qaom Jis Ko Fatima Zehra Nay Di Dua
Koi Bhi Gham Na Ho Gham E Shabbir Ky Siwa
Ho Eid Ya Muharram Kartay Hain Sheh Ka Matam
Hum Hi Wohi Hain Log

Hum Hi Wohi Qabila
Hum Hi Wohi Hain Log
Hum Hi Wohi Hain Log

Seenon Pay Dagh E Matam E Sarwar Gawah Hai
Kalay Libas Walay Hussaini Sipah Hain
Jin Par Dua E Zehra Karti Hai Khud Hi Saya
Hum Hi Wohi Hain Log

Hum Hi Wohi Qabila
Hum Hi Wohi Hain Log
Hum Hi Wohi Hain Log

Matam Ki Goonj Mein Huye Madhosh Is Tarah
Tabaan Misaal Ham Hain Siyah Posh Is Tarah
Hai Ankh Numhamari Pehchan Gham Hamari
Hum Hi Wohi Hain Log

Hum Hi Wohi Qabila
Hum Hi Wohi Hain Log
Hum Hi Wohi Hain Log

Pani Ki Yeh Sabeel Yeh Ghazi Ki Haziri
Sehra Kahin Saja Kahin Mehndi Saji Hui
Shadi Ky Ghar Mein Matam Kartay Hain Woh Jo Payham
Hum Hi Wohi Hain Log

Hum Hi Wohi Qabila
Hum Hi Wohi Hain Log
Hum Hi Wohi Hain Log

Chaltay Hain Hum Jo Aag Pay Ab Tak Barehna Paa
Aur Lab Py Dulha Dulha Ki Rehti Hai Jo Sada
Tukrhay Hua Jo Lasha Parhtay Hain Us Ka Noha
Hum Hi Wohi Hain Log

Hum Hi Wohi Qabila
Hum Hi Wohi Hain Log
Hum Hi Wohi Hain Log

Bachon Ko Apnay Jhoola Jhulayn To Ro Parhen
Bali Kisi Ko Hum Jo Pehnayen To Ro Parhen
Hai Khak Jin Ka Bistar Zanjeer Jin Ka Zaiwar
Hum Hi Wohi Hain Log

Hum Hi Wohi Qabila
Hum Hi Wohi Hain Log
Hum Hi Wohi Hain Log

Bhai Ko Khat Behan Ka Jo Pardais Mein Milay
Reh Jatay Hain Alam Say Kalaijay Ko Tham Kay
Wada Nibhanay Walay Khatay Hain Dill Py Bhalay
Hum Hi Wohi Hain Log

Hum Hi Wohi Qabila
Hum Hi Wohi Hain Log
Hum Hi Wohi Hain Log

Khali Jo Zuljanah O Amari Dikhai Day
Aal E Nabi Ky Gham Mein Kalaija Sulag Uthay
Dill Khoon Ho Kay Tapkay Ashkon Ki Dhar Ban Kay
Hum Hi Wohi Hain Log

Hum Hi Wohi Qabila
Hum Hi Wohi Hain Log
Hum Hi Wohi Hain Log

Rehan Jin Ko Saya E Damaan E Sayeda
Ho Ga Naseeb Hashr Mein Woh Hum Hain Bakhuda
Waan Bhi Karen Gay Matam Ghazi Ka Lay Kay Parcham
Hum Hi Wohi Hain Log

Hum Hi Wohi Qabila
Hum Hi Wohi Hain Log
Hum Hi Wohi Hain Log

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply