Reciter: Nadeem Sarwar

Hussain Hussain Hussain

Hum Hussaini Hain Duniya Mein Phailay Huye
Hussain Hussain Hussain
Hussain Hussain Hussain

Sakhtian Karbala Ki Hain Jhailay Huye
Hussain Hussain Hussain
Hussain Hussain Hussain

Hum Pay Saya Wafa Aur Wafadar Ka
Dhoop Mein Jaisay Saya Ho Deewar Ka
Sar Pay Parcham Hai Sheh Ky Alamdar Ka
Har Qadam Barh Rahay Hain Yeh Kehtay Huye

Hussain Hussain Hussain
Hussain Hussain Hussain

Hai Yeh Dharti Agar Lal Shehbaz Ki
Lal Shehbaz Ky Bhi Wali Hain Ali
Sarfarazi Isi Dar Say Sab Ko Mili
Wajd Mein Kiun Na Har Ek Qalandar Kahay

Hussain Hussain Hussain
Hussain Hussain Hussain

Khawaja Ajmair Hon Ya Nizam O Fareed
Sheh Ky Dushman Ko Kehtay Hain Yeh Bhi Yazeed
Sheh Ka Gham In Ky Maslak Mein Haq Ki Naveed
Kitnay Aizaz In Ko Yeh Keh Kar Milay

Hussain Hussain Hussain
Hussain Hussain Hussain

Haq Parasti Ky Duniya Mein Hami Raho
Raho Mazloom Zalim Ko Barhnay Na Do
Zair E Khanjar Hussaini Sada Woh Suno
Aaj Bhi Jis Say Zalim Hain Dehly Huye

Hussain Hussain Hussain
Hussain Hussain Hussain

Mard Woh Hai Jo Waaday Ko Poora Karay
Zair E Khanjar Bhi Haq Bat Kehta Rahay
Sar Rahay Na Rahay Ghar Lutay Ya Bachay
… Teray Aur Kis Mein Hain Yeh Hoslay

Hussain Hussain Hussain
Hussain Hussain Hussain

Andhiyan Hum Ko Roken Yeh Mumkin Nahi
Woh Gham E Sheh Say Morhen Yeh Mumkin Nahi
Rasm E Gham Kaisay Chorhen Yeh Mumkin Nahi
Hum To Roz E Azal Say Hi Teray Huye

Hussain Hussain Hussain
Hussain Hussain Hussain

Kull E Emaan Mushkil Kusha Hai Ali
Keh Rahay Hain Nusehri Khuda Hai Ali
Yeh Khuda Janta Hai Keh Kya Hai Ali
Saray Aosaf Haider Ky Tujh Mein Milay

Hussain Hussain Hussain
Hussain Hussain Hussain

Khaibar O Khandaq O Nehrawan O Jamal
Zarb E Haider Ka Koi Nahi Hai Badal
Ay Zamanay Kabhi Raah E Haider Pay Chal
Tera Dill Bhi Milay Ga Yeh Kehtay Huye

Hussain Hussain Hussain
Hussain Hussain Hussain

Hum Azadar Hain Kitnay Khud Daar Hain
Dy Ky Khushiyan Jo Gham Ky Talabgar Hain
Shadi O Gham Mein Sarwar Kay Gham Khuwar Hain
Aik Hi Nam Hai Labb Kabhi Jo Hilen

Hussain Hussain Hussain
Hussain Hussain Hussain

Ashk Roken Agar Ham To Phat Jaye Dill
Gar Na Matam Karen Ham To Kat Jaye Dill
Apnay Markaz Say Mehwar Say Hat Jaye Dill
Teri Bazm E Aza Gar Na Hum Ko Milay

Hussain Hussain Hussain
Hussain Hussain Hussain

Hum Hussaini Hain Duniya Mein Phailay Huye

Hussain Hussain Hussain
Hussain Hussain Hussain

Haye Woh Roz E Ashura Sheh Ki Behan
Daikhti Thi Ujarhta Jo Apna Chaman
Khoon E Akbar Say Gul Rang Tha Pairahan
Dy Rahi Thi Sada Ban Mein Sar Peet Kay

Hussain Hussain Hussain
Hussain Hussain Hussain

Teri Madar Ka Shab Ko Janaza Utha
Teri Hamsheer Balway Mein Hai Bey Rida
Haye Tujh Ko Kafan Bhi Nahi Mil Saka
Zakhm Ab Tak Hamaray Nahi Woh Bharay

Hussain Hussain Hussain
Hussain Hussain Hussain

Aik Nanhi Si Turbat Banai Thi Jab
Bey Kasi Pursa Denay Ko Aai Thi Jab
Lash E Asghar Zameen Mein Chupai Thi Jab
Daman E Sabr Choota Na Kiun Hath Say

Hussain Hussain Hussain
Hussain Hussain Hussain

Koi Poochay To Abid Ky Dill Say Zara
Ye Safar Sham O Koofa Ka Kaisay Kiya
Betiyan Fatima Ki Thiin Jab Bey Rida
Chalnay Detay Na Thay Paon Kay Aablay

Hussain Hussain Hussain
Hussain Hussain Hussain

Ay Rehan Azmi Fikr Ho Bas Yehi
Matam E Sheh Mein Honay Na Paye Kami
Hai Yehi Zindagi Hai Yeh Bandagi
Meray Ajdad Bhi Mujh Say Yeh Keh Gaye

Hussain Hussain Hussain
Hussain Hussain Hussain

Hum Hussaini Hain Duniya Mein Phailay Huye

Hussain Hussain Hussain
Hussain Hussain Hussain

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply