Reciter: Tejani Brothers

(Lo agaya bazaar) x10 (Bazaare shaam hai, bazaare shaam hai) x2 Bazaare sham hai

Mazlum ka kunba, jab sham ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar

Meri phuphi amma, roti hai(n) be parda, lakhon ka hai majma, lo agaya bazaar

(Mazlum ka kunba, jab sham ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar) x2

Ye soch ke rota hu(n), maa behne khule sar hai
Kistarha se dekhuga, jo samne manzar hai
Neze pe hai ik sar, rota hai jo aksar, karta hai jo nawha

(Mazlum ka kunba, jab sham ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar) x2

Bazu hai bandhe mere, mei kuch nahi kar sakta
Bochaar hai patthar ki, ham sab hai rassan basta
Hai khun ka darya, jo sar se hai behta, haste hai ye aada

(Mazlum ka kunba, jab sham ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar) x2

Har eik qadam baba, qur’an sunaata hai
Aur aag ke pathhar khud, chehre pe wo khata hai
Zahra ka dulara, Ahmad ka nawasa, hai barsare neza

(Mazlum ka kunba, jab sham ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar) x2

Parde ka muhaffiz ab, sar apna giraataa hai
Khu(n) rota hai wo ghazi, jab bhi nazar aata hai
Zainab ka khula sar, aur shaam ka manzar, sar pe nahi parda

(Mazlum ka kunba, jab sham ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar) x2

ay habsh ke maki(n) ye, fizza ki sada aayi,
thi aapki shahzadi, aur aaj hun me qaidi
ay mere bahaddur, kar itna tassawur, hun aapki malka,

(Mazlum ka kunba, jab sham ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar) x2

aur shimr ye abid se, kis fakhr se kehta hai,
Parda teri zainab ka neze se utara hai,
Quwwat hai ye meri, ahmed ki nawasi, ko shaam me layaa

(Mazlum ka kunba, jab sham ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar) x2

wo nanni sakina ko manga hai kanizi me,
me marta hun jiteji maahole sharabi me,
ghabrati hai bachhi, aur hoke me bhayi, kuch kar nahi sakta

(Mazlum ka kunba, jab sham ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar) x2

Maut ayegi zindaa(n) mei, pyaari meri behna ki
Hathon se banaunga, me qabr sakina ki
Wo khun bhara kurta, har aik tamacha, ye usko hai sehna , lo agaya bazaar

(Mazlum ka kunba, jab sham ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar) x2

maula ko madine me, ik shaks ne jab puchha
jo sab se musibat thi, wo konsa manzar tha,
mola kahe rokar, dil soz tha manzar, nazron me jo chhaya

(Mazlum ka kunba, jab sham ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar) x2

Jis bibi ko suraj ne, hargiz nahi dekha tha,
Beparda khari thi wo, shaitano ka majma tha
Chehre ko “Tejani”, baalo(n) se chupaayi, parhti rahi khutba

(Mazlum ka kunba, jab sham ko poncha, abid ka tha nawha, lo agaya bazaar) x2

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply