Reciter: Tejani Brothers

Anjam E Wafa Kya Hai Ye Socha Nahi Kartay
Hussaini Kabhi Halaat Sy Soda Nahi Kartay
Yeh Rasm Sikhai Hai Hussiani Ibn E Ali Ny
Sir Sajday Mein Ho To Khanjar Sy Dara Nahi Kartay
Hum Hussaini Hain, Hum Hussaini Hain, Hum Hussaini Hain

Ye Azaa Naslon Mein Basaai Hai Hum Hussaini Hain
Hum Hussaini Hain Hum Hussaini Hain Hum Hussaini Hain

Maot Say Dartay Nahi Kiun Kay Hum Ko Hai Yaqeen
Khuld E Momin Hai Yehi Karbala Ki Sir Zameen
Yeh Sada Saray Mominon Ki Hai Hum Hussaini Hain

Hum Hussaini Hain Hum Hussaini Hain Hum Hussaini Hain

Dars Yeh Hum Ko Mila Jaisay Rabb Ny Khalq Kiya
Har Gharhi Hai Ashora, Har Zameen Hai Karbala
Ab Jalalat Khoon Ki Yeh Kehti Hai Hum Hussaini Hain

Hum Hussaini Hain Hum Hussaini Hain Hum Hussaini Hain

Hai Hamara Khoon Rawaan Qatl Hotay Hain Jawaan
Ruk Nahi Sakti Kabhi Hai Azai Ki Azaa
Hon Gay Fath Mand, Khuld Hamari Hai Hum Hussaini Hain

Hum Hussaini Hain Hum Hussaini Hain Hum Hussaini Hain

Qatl Ho Jayen Jo Hum Na Ruky Ga Ashq E Gham
Har Gharhi Har Ik Qadam Na Jhukay Ga Yeh Alam
Dekh Lo Taaqat Jo Hamari Hai Hum Hussaini Hain

Hum Hussaini Hain Hum Hussaini Hain Hum Hussaini Hain

Bachpanay Mein Lorian Bus Sunati Thi Ye Maan
Hai Ay Beta Teri Jaan Sadqa E Shah E Zamaan
Khoobi Yeh Maan Ny Hi Sikhai Hai Hum Hussaini Hain

Hum Hussaini Hain Hum Hussaini Hain Hum Hussaini Hain

Ghazi Ki Yeh Darsgaah Say Sabaq Hasil Hua
Is Tarah Ahl E Kisa Kay Bano Tum Ba Wafa
Roz E Awwal Sy Ba Wafai Hai Hum Hussaini Hain

Hum Hussaini Hain Hum Hussaini Hain Hum Hussaini Hain

Marna Chaho Agar Yad Rakh Lo Ye Khabar
Agay Barh K Maot Sy Hum Milayen Gy Nazar
Hum Ko Zahra Ki Rahnumai Hai Hum Hussaini Hain

Hum Hussaini Hain Hum Hussaini Hain Hum Hussaini Hain

Hai Tejani Martaba Momin E Shabbir Ka
Hai Hussaini Jis Jagah Hai Wahan Rab Ki Raza
Ye Tamana To Fatima Ki Hai, Hum Hussaini Hain

Hum Hussaini Hain Hum Hussaini Hain Hum Hussaini Hain

Hum Hussaini Hain Hum Hussaini Hain Hum Hussaini Hain

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply