Reciter: Farhan Ali Waris
Tery Hi Gham Mein Sar Ko Katayen
Tery Hi Gham Mein Jan Lutayen
Hussain Ya Hussain Hussain Ya Hussain
Teri Taraf Jab Bhi Dil Jata Hai
Banda Khuda Sy Mil Jata Hai
Zakhm Jigar Ka Sill Jata Hai
Gham Ki Dawa Hum Tujh Sy Hi Payen
Hussain Ya Hussain Hussain Ya Hussain
Ho Jati Hain Door Balayen
Ati Hain Rehmat Ki Ghatayen
Ashk Bahany Zehra Ayen
Farsh E Aza Jab Teri Bichayen
Hussain Ya Hussain Hussain Ya Hussain
Farsh E Aza Aur Tera Matam
Banta Hai Zakhmon Ka Marham
Eid Ho Ya Ho Maah E Muharram
Tera Hi Gham Har Waqt Manayen
Hussain Ya Hussain Hussain Ya Hussain
Teri Behan Beti Zehra Ki
Jis Ny Namaz E Shab Mein Dua Ki
Teri Baqa Aur Apni Rida Ki
Is Ky Masayeb Dill Ko Rulayen
Hussain Ya Hussain Hussain Ya Hussain
Jis Ky Liye Haider Ny Kaha Tha
Yeh Hai Ghulam Aur Tu Hai Aaqa
Paikar Woha Abbas Wafa Ka
Sath Liye Haider Ki Duayen
Hussain Ya Hussain Hussain Ya Hussain
Tujh Py Chala Jab Shimr Ka Khanjar
Zehra Ki Aghosh Mein Tha Sar
Mehw E Buka Thi Rooh E Haider
Kehti Thi Kis Tarha Bachayen
Hussain Ya Hussain Hussain Ya Hussain
Bad Tery Woh Sham E Ghareeban
Sehme Huye Bachy Thy Hiraasan
Pehry Py Zainab Thi Pareshan
Ly Gaye Zaalim Sar Sy Ridayen
Hussain Ya Hussain Hussain Ya Hussain
Zulm Sahy Hain Door Watan Sy
Tujh Ko Rakha Mehroom Kafam Sy
Bazoo Bandhy Zainab Ky Rasan Sy
Jis Ny Sahi Har Gaam Jafayen
Hussain Ya Hussain Hussain Ya Hussain
Itni Jafayen Zain Ul Abaa Par
Shukr Kiya Har Aik Jafa Par
Dekhi Ridayen Nok E Sinaan Par
Jalti Zameen Aur Garm Hawayen
Hussain Ya Hussain Hussain Ya Hussain
Shair E Khuda Ka Shair Tha Saqqa
Aasra Zainab Ki Chadar Ka
Dar Py Kharhi Hai Pyasi Sakina
Goonj Uthi Pur Dard Sadayen
Hussain Ya Hussain Hussain Ya Hussain
Mazhar Ki Har Waqt Dua Hai
Duniya Ki Har Shay Ko Fana Hai
Jab Tak Baqi Yeh Duniya Hai
Ati Rahen Matam Ki Sadayen
Hussain Ya Hussain Hussain Ya Hussain