Reciter: Tejani Brothers
Hussain Zindabad, Hussain Zindabad
Husain He Dee’n Hai’n, Husain He Eemaa’n,
Husain He Aayat, Husain He Qur’an,
Husain He Sheh Hai’n, Husain He Sulta’n,
Husain He Wallah Hai’n Marzi-e-yazda’n,
Zamana Padhta Hai Husain Ki Roodaad,
Husain Zindabad…..
Imamato’n Ka Ek’ Husain Mehwar Hai’n,
Husain Hikmat Ka’ Gira’n Samundar Hai’n,
Husain He Haq Ka’ Haseen Paikar Hai’n,
Husain Taqwo’n Ka’ Jameel Mazhar Hain,
Husain He Se Har’ Jahan Hai Aabaad,
Husain Zindabad…….
Husain Ne Karbal Me’n De Diya Akbar,
Husain Ne Qurban Kar Diya Asghar,
Husain Ne Ran Me’n Luta Diya Ghar-bhar,
Jo Waqt Aaya To Diya Hai Apna Sar,
Husain Ke Lab Par Magar Na Thi Fariyad,
Husain Zindabad….
Husain Ke Marte He Tooti Ek Aafat,
Jo Sham-e-gham Aayi To Chaa Gayi Wehshat,
Layeen Karte The Haram Ko Be-izzat,
Khayam Jalte The Ye Aa Gayi Naubat,
Paresha’n Zainab Thi Gashi Me’n The Sajjad,
Husain Zindabad….
Na Saya Hai Koi’ Na Koi Hai Mehmil,
Milegi Zainab Ko’ Na Jane Kab Manzil,
Lahu Me’n Dooba Hai’ Furat Ka Sahil,
Jafa’en Karte Hai’n’ Husain Ke Qatil,
Husain Sa Hoga’ Na Khana-e-barbad,
Husain Zindabad
Allahumal Laa An
Hurmula Par Azaab-e-rab Toote,
Shimr Par Qehr Rozo-shab Toote.
Maviya Par Khuda Ki Maar Pade,
La’an Khooli Pe Beshumar Pade.
Aale-marjana Ki Bane Har Gat
Qatilane-husain Par Lanat,
Jisne Ahleharam Pe Dhaye Sitam,
Aag Se Uska Jalta Jaye Shikam.
Jisne Zakmi Kiya Sakeena Ko,
Ya Khuda Wasile-jahannum Ho.
Jisne Zainab Ki Looti Ho Chadar,
Uspe Shamo-saher Chale Khanjar.
Haaye Mera Mazloom Imam
Karti Hai Duniya Jisko Salam,
Haye Mera Mazloom Imam.
Dono-jaha’n Pe Jiska Nizaam,
Haye Mera Mazloom Imam.
Arzo-sama Hai’n Jiske Ghulam,
Haye Mera Mazloom Imam.
Shahe-umam Wo Shahe-anaam,
Haye Mera Mazloom Imam.
Roti Hai Jispar Subho-shaam,
Haye Mera Mazloom Imam.
Jisse Khuda Karta Hai Kalaam,
Haye Mera Mazloom Imam.
Toote Hai’n Jis Par Zulm Tamam,
Haye Mera Mazloom Imam
Jiska Jaha’n Leta Hai Naam,
Haye Mera Mazloom Imam.
Mara Gaya Jo Tishnakaam
Haye Mera Mazloom Imam.