Reciter: Farhan Ali Waris
Ilaiya Ya Bunaiya
Ilaiya Ilaiya Ya Bunaiya
Thokaren Khati Hui Maqtal Mein Kiun Aai Hai Tu
Mujh Ko Dikhlanay Tamanchon Ky Nishan Lai Hai Tu
Neend Say Ankhen Hain Bojhal Aa Meray Nazdeek Aa
Tera Baba Sota Hai Yahan
Ilaiya Ilaiya Ya Bunaiya
Janta Hun Meray Seenay Par Sada Soi Hai Tu
Teri Ankhen Keh Rahi Hain Kis Qadar Roi Hai Tu
Is Andhairay Dasht Mein Kiun Deti Hai Mujh Ko Sada
Tera Baba Sota Hai Yahan
Ilaiya Ilaiya Ya Bunaiya
Aaj Ki Shab Maan Ky Pehloo Mein Hi Sona Tha Tumhen
Pyasay Bachon Aur Phuphi Ky Sath Rehna Tha Tumhen
Aa Meray Teeron Bharay Seenay Pay Aa Ky Late Jaa
Tera Baba Sota Hai Yahan
Ilaiya Ilaiya Ya Bunaiya
Ho Gai Hai Sham Phir Bhi Garm Hai Sari Zameen
Daikh Teray Paon Mein Chalay Na Parh Jaye Kahin
Kiun Nikal Aai Hai Khaimay Say Barehna Paa Bata
Tera Baba Sota Hai Yahan
Ilaiya Ilaiya Ya Bunaiya
So Gaye Wehshi Darinday Tu Hai Ab Tak Jagti
Phir Rahi Hai Baba Baba Kehti Meri Ladli
Main Yahan Aur Nehr Py Bey Taab Hotay Hain Chacha
Tera Baba Sota Hai Yahan
Ilaiya Ilaiya Ya Bunaiya
Aa Meri Aghosh Mein Kuch Dair Aa Ky Late Jaa
Phir To Sooye Sham Jaye Ga Hamara Qafila
Teri Gardan Mein Rasan Bandhay Gi Yeh Faoj E Jafa
Tera Baba Sota Hai Yahan
Ilaiya Ilaiya Ya Bunaiya
Tujh Ko Paidal Mujh Ko Naizay Par Safar Karna Hai Ab
Karbala Sar Ho Chuki Hai Sham Sar Karna Hai Ab
Daikh Marqad Chorh Ky Maqtal Mein Aaiin Sayeda
Tera Baba Sota Hai Yahan
Ilaiya Ilaiya Ya Bunaiya
Beh Raha Hai Khoon Kaanon Say Sakina Kis Qadar
Ashk Say Chehra Hai Bheega Khoon Say Poshak Tar
Daikh Kar Tujh Ko Pukara Lasha E Bey Sar Mera
Tera Baba Sota Hai Yahan
Ilaiya Ilaiya Ya Bunaiya
Janta Hun Meray Seenay Par Sada Soi Hai Tu
Teri Ankhen Keh Rahi Hain Kis Qadar Roi Hai Tu
Is Andhairay Dasht Mein Kiun Deti Hai Mujh Ko Sada
Tera Baba Sota Hai Yahan
Ilaiya Ilaiya Ya Bunaiya
Guftagu Rehan Kartay Thay Shah E Jinn O Bashar
Lasha E Bey Sar Say Lipti Thi Sakina Noha Gar
Karbala Ky Bann Mein Har Soo Goonjti Thi Yeh Sada
Tera Baba Sota Hai Yahan
Ilaiya Ilaiya Ya Bunaiya