Reciter: Farhan Ali Waris

Allah Allah

Hai Nai Subho Ka Aghaz
Allah O Akbar

Ay Zindagi Jala E Shah E Mashraqain Day
Is Taza Karbala Ko Bhi Azm E Hussaini Day

Allah Ray Inteshar Ky Zakhmi Alam Badosh
Hairan Hain Aqal O Zehn Pareshan Hain Lab Khamosh
Doobay Huye Hain Gham Ky Samandar Mein Ahl E Hosh

Fitna Fasad Aisa Hua Hai Yahan Keh Bas
Aman O Amaaan Ki Aisi Urhiin Dhajiyan Keh Bas

Naron Say Inteqam Ky Dill Rolnay Laga
Talwar Chup Hui To Lahu Bolnay Laga

Inqelab Inqelab Inqelab

Ek Inqelab Chahiye Ek Inqelab
Inqelab

Ab Arsh O Zameen Ky Choda Tabaq
Matam Ki Sada Say Hil Jayen
Ya Hussain Ya Hussain

Har Ghar Py Imarat Pay Har Samt
Abbas Ky Parcham Lehrayen

Yeh Khuwab Haqeeqat Paye Ga
Phir Bacha Bacha Bolay Ga

Ali Haq Ali Haq Ali Haq Ali Haq

Tafseer Aqeeday Ki Hai Yehi
Tabeer Aqeeday Ki Hai Yehi
Abbas Ka Parcham Hathon Mein
Aur Sab Ky Labon Par Ek Nara

Inqelaab Inqelaab Inqelaab

Ek Inqelaab Chahiye Ek Inqelaab
Inqelaab

Talwar Ki Dharon Ko Morho
Rukh Phair Do In Toofanon Ka
Haq Bat Kahen Gay Sooli Par
Yeh Azm Ho Noha Khuwanon Ka
Jazbon Ko Zara Toofan Karo
Mesum Ki Tarah Ailaan Karo

Ali Haq Ali Haq Ali Haq Ali Haq

Khanjar Ki Kaat Ho Lafzon Mein
Lehjay Mein Garaj Ho Bijli Ki
Halat Taqaza Kartay Hain
Ab Goonjy Mein Aik Sada

Inqelaab Inqelaab Inqelaab

Ek Inqelaab Chahiye Ek Inqelaab
Inqelaab

Ali Haq Ali Haq Ali Haq Ali Haq

Hum Madh E Ali Mein Daar Py Bhi
Lafzon Ko Rawani Daitay Hain
Kat’ti Hai Zabaan Kat Jaye Magar
Paigham Zabani Detay Hain
Ali Haq Ali Haq Ali Haq Ali Haq

Shahid Hai Ada E Mesum Bhi
Hum Hain Woh Ali Ky Deewanay
Jis Pairh Py Lagni Ho
Us Pairh Ko Pani Daitay Hain

Ali Haq Ali Haq Ali Haq Ali Haq

Yeh Zabaan Kat Do Jism O Jaan Kat Do
Midhat E Murtaza Ki Saza Do Mujhay
Zikr E Shah E Najaf Say Rukun Ga Nahi
Chahay So Bar Sooli Charha Do Mujhay
Tukrhay Tukrhay Karo Mera Sara Badan
Aag Roshan Karo Aur Jala Do Mujhay
Jab Meray Jism Ki Raakh Ban Jaye To
Lay Ky Hathon Mein Apnay Urha Do Mujhay
Aik Do Din Nahi Subh E Mehshar Talak
Jab Jahan Jis Taraf Woh Hawa Jaye Gi
Haq Ali Ya Ali Ki Sada Aye Gi

Ali Haq Ali Haq Ali Haq Ali Haq

Ghaor Say Sun Len Ahl E Jahan
Zikr E Haider Na Ruk Paye Ga
Sheh Ki Majlis Na Ruk Paye Gi
Sheh Ka Matam Na Ruk Paye Ga
Tum Zulm Ki Had Ko Paar Karo
Hum Sabr Ka Daman Thamtay Hain
Tum Lakh Mazalim Hum Pay Karo
Hum Khoon Bahana Jantay Hain
Tum Aao Hum Ko Qatal Karo
Hum Apni Shahadat Mangtay Hain

Hai Jaan Hamari Qarz E Ali
Yeh Jan To Hum Ko Deni Hai
Tum Kitnay Hussaini Maro Gay
Yeh Sari Qaom Hussaini Hai

Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Inqelaab Inqelaab

Wirsa Hai Shahadat To Apna
Ghar Jalna Hamra Wirsa Hai
Jo Maot Say Ankh Milata Hai
Bas Wohi Hussaini Hota Hai
Mazloom Ky Matam Daar Bano
Haq Baat Ka Yun Parchar Karo
Ali Haq Ali Haq Ali Haq Ali Haq

Hal Min Ki Sada Zehnon Mein Rahay
Matam Ki Sada Labbaik Kahay
Har Daor Ka Marhab Kaanp Uthay
Ay Azm E Hussaini Jaag Zara

Inqelaab Inqelaab Inqelab

Ek Inqelab Chahiye Ek Inqelab
Inqelab

Ya Hussain Ya Hussain

Ashoor Ka Jab Sooraj Daikho
Khud Apni Maan Say Jaa Ky Kaho
Pehnao Kafan Marnay Kay Liye
Ay Maan Mujh Ko Tayyar Karo

Tayyar Hun Main Akbar Ki Tarah
Tum Azm Dikhao Zainab Ka
Main Qasim Say Barh Kar To Nahi
Na Husn Mein Hun Akbar Ki Tarah
Na Aon O Muhammad Jaisa Haseen
Na Beta Tera Asghar Ki Tarah
Seh Roz Ka Main Pyasa To Nahi
Majboor Nahi Tanha To Nahi
Gar Laot Ke Ghar Main Na Aun
Tum Zabt Mera Gham Kar Lena
Ashkon Ko Hi Marham Kar Lena
Shabbir Ka Matam Kar Lena

Shabbir Ka Matam Kar Lena

Farhan Aur Mazhar Ki Hai Dua
Yeh Farsh E Aza Abad Rahay
Paigham E Hussaini Detay Hain
Har Waqt Labon Py Ho Yeh Sada

Ya Hussain Ya Hussain….

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply