Reciter: Tejani Brothers

(Abbas ibn-e-sher-e-khuda) x4

1. mashko alam leke ghar se chalaa
Abbas ibn-e-sher-e-khuda

(Abbas ibn-e-sher-e-khuda) x4

2. Zainab ne dam karke naade ali,
Apni rida bhayi par daaldi,
Dekar duwa ghar se rukhsat kiya
Abbas ibn-e-sher-e-khuda

(Abbas ibn-e-sher-e-khuda) x4

3. Bacho(n) ke lab par khushi agayi,
Kuchh der me tashnagi jayengi,
Darya ki janib chale hai chacha
Abbas ibn-e-sher-e-khuda

(Abbas ibn-e-sher-e-khuda) x4

4. Ghazi ne saahil pe rakha qadam,
Khakar sakina ke sar ki qasam,
Bharlunga is mashk me alqama
Abbas ibn-e-sher-e-khuda

(Abbas ibn-e-sher-e-khuda) x4

5. Parcham hawa me jo urhne laga,
Zainab se bole shaahe karbala,
Bhayi palat aaye mango(n) duwa
Abbas ibn-e-sher-e-khuda

(Abbas ibn-e-sher-e-khuda) x4

6. Kehti thi bali sakina yahi,
Mera chacha hai bahadur jari,
Rokega kaise koi raasta
Abbas ibn-e-sher-e-khuda

(Abbas ibn-e-sher-e-khuda) x4

7. Lekin achanak ye kya hogaya,
Ghazi ka parcham larazne lagaa,
Bedast hokar giraa bawafaa
Abbas ibn-e-sher-e-khuda

(Abbas ibn-e-sher-e-khuda) x4

8. Ghazi jo zee(n) se zami(n) par ghira
Rokar Sakina se usne kaha
Sharminda Bali tera hai chacha
Abbas ibn-e-sher-e-khuda

(Abbas ibn-e-sher-e-khuda) x4

9. Sheh ki kamar gham se kham hogayi,
Taakat shahe dee(n) ki kam hogayi,
Lashakar ka sardaar maraa gayaa
Abbas ibn-e-sher-e-khuda

(Abbas ibn-e-sher-e-khuda) x4

10. “Rehan” manzar wo kaise likhu(n)
Mere qalam se tapak ta hai khu(n)
Kehte the shabbir bhayi mera
Abbas ibn-e-sher-e-khuda

(Abbas ibn-e-sher-e-khuda) x4

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply