Reciter: Tejani Brothers
Kehti Thi Laal Meray, Shabbir Tera Aaqa Hai
Is Tarhan Se Ghazi Ko Ummul Baneen Ne Paala Hai
Jab Waqt Aaye Mushkil Zehra Ke Ladle Par
Shabbir Ki Hifazat Karna Tu Dhaal Bankar
Yeh Maan Ki Hai Waseeyat, Aur Yehi Hukm Mera Hai
Is Ghar Mein Tu Humesha Bankar Ghulam Rehna
Aulade Fatima Ko Bhai Behen Na Kehna
Khaakar Qasam Tu Kehde, Maan Tujh Say Mera Wada Hai
Tujhko Namaze Shab Mein Manga Hai Khud Ali Ke
Rab Se Duaein Ki Hain Allah Ke Wali Ne
Tu Hai Dua Ali Ki Tu Aarzue Zehra Hai
Mainay Jo Kuch Kaha Hai Rakhna Wohi Irada
Aale Rasool Se Tu Aisay Nibhana Wada
Main Fakhr Se Kahoon Ke Abbas Mera Beta Hai
Kitna Hai Naaz Tujhpar Zehra Ki Betiyon Ko
Hai Aas Tujhpe Beta Kis Darja Bibiyon Ko
Saydania Ko Beta Tujhpar Bohat Bharosa Hai
Karbobala Ki Khatir Paala Hai Tujhko Mainay
Sanchay Mein Khuda Wafa Ke Dhaala Hai Tujhko Mainay
Jo Teer Sheh Pe Aaye, Tujhko Jigar Pe Khaana Hai
Ummal Banin Jaisi Maan Par Salaam Safdar
Pursa Main Deraha Hoon Farshe Aza Bichakar
Tejani Hain Baradar, Inke Labon Pe Noha Hai