Reciter: Nadeem Sarwar
Wa Hussaina Wa Hussaina
Haye
Jab Hukm E Rehai Mila Zindaan Sy Haram Ko
Ek Ghar Bhi Muyassar Hua Tarseeda E Gham Ko
Us Ghar Py Lagaya Gaya Ek Siyah Alam Ko
Zainab Ny Kaha Rona Hai Dil Khol Ky Hum Ko
Phir Farsh E Aza Mil Ky Aseeron Ny Bichaya
Aur Shaam Ky Ghar Ghar Sy Paye Pursa O Giriya
Ek Ghol Azadar Khawateen Ka Aaya
Phir Majlis E Awwal Ka Yun Aghaz Hua Tha
Us Majlis E Awwas Ki Jo Awwal Thi Khateeba
Ghar Bhar Ki Azadaar Wohi Zainab E Kubra
Khutba Parha Aaghaz Kiya Majlis E Gham Ka
Khutba Abhi Jari Tha Ky Ek Shor Sa Utha
Ky Sar Aty Hain Majlis Mein Shaheedan E Sitam Ky
Ay Bibion Matam Karo Halqy Mein Haram Ky
Haye Hum Lut Gaye
Haye Barbaad Huye
Haye Qaidi Baney
Haye Dar Dar Phiry
Haye Matam Karo
Haye Matam Karo
Pehley Wahan Ansaar E Hussaini Ky Sar Aaye
Hur Jaon Habeeb Ibne Mazahir Ky Sar Aaye
Wahebe Qalabi Aosja Tashna Jigar Aaye
Matam Hua Us Pehly Azakhaney Mein Aisy
Shehzadian Roti Hon Sagy Bhai Ko Jaisy
Haye Hum Lut Gaye
Haye Barbaad Huye
Haye Qaidi Baney
Haye Dar Dar Phiry
Haye Matam Karo
Haye Matam Karo
Wa Qasima
Wa Qasima
Ek Chand Sa Sar Daikha Ky Jo Khoon Mein Tar Hai
Sab Kehny Lagy Yeh Kisi Noshah Ka Sar Hai
Farwa Ny Kaha Han Yeh Mera Lakht E Jigar Hai
Ary Qasim Mujhy Sehra Bhi Dikhaney Nahi Aaye
Ary Zindaan Sy Amman Ko Churhany Nahi Aaye
Haye Hum Lut Gaye
Haye Barbaad Huye
Haye Qaidi Baney
Haye Dar Dar Phiry
Haye Matam Karo
Haye Matam Karo
Wa Aon O Muhammad
Wa Aon O Muhammad
Do Chotey Sy Sar Goud Mein Sajjad Jo Laaye
Zainab Ny Kaha Aon O Muhammad Merey Aaye
Ary Qurban Gai Koi Meri Goud Mein Laaye
Roi Nahi Matam Na Kiya Pyaar To Kar Lun
Ay Bhai Ijazat Hai Inhen Aaj To Ro Lun
Haye Hum Lut Gaye
Haye Barbaad Huye
Haye Qaidi Baney
Haye Dar Dar Phiry
Haye Matam Karo
Haye Matam Karo
Wa Akbara
Wa Akbara
Jaisey Hi Azakhaney Mein Akbar Ka Sar Aaya
Zainab Ny Sar E Aon O Muhammad Ko Hataya
Aaghosh Sy Bhabi Ki Sar Akbar Ka Uthaya
Ary Chillain Mery Laal Zara Ankhen To Kholo
Ary Sughra K Liye Hai Koi Paigham To Bolo
Haye Hum Lut Gaye
Haye Barbaad Huye
Haye Qaidi Baney
Haye Dar Dar Phiry
Haye Matam Karo
Haye Matam Karo
Wa Asghara
Wa Asghara
Ek Chotey Sy Syed Ka Jo Sar Samny Aaya
Munh Ashkon Sy Maan Ny Ali Asghar Ka Dhulaya
Har Bibi Ny Us Sar Ko Kalaijey Sy Lagaya
Ary Ro Ro Ky Sakina Ko Sada Deti Thi Maadar
Ary Aa Jao Tumhen Dhund Raha Hai Ali Asghar
Haye Hum Lut Gaye
Haye Barbaad Huye
Haye Qaidi Baney
Haye Dar Dar Phiry
Haye Matam Karo
Haye Matam Karo
Ya Abbasa
Ya Abbasa
Sar Aaya Wahan Jab Bani Hashim Ky Qamar Ka
Roty Huye Har Bibi Ny Dukhrha Yeh Sunaya
Ay Zamin E Chadar Tu Bahut Dair Mein Aaya
Yeh Dekh Ky Har Bibi Ka Sad Chaak Jigar Tha
Ky Pehloo Mein Alam Ky Hi Alamdar Ka Sar Tha
Haye Hum Lut Gaye
Haye Barbaad Huye
Haye Qaidi Baney
Haye Dar Dar Phiry
Haye Matam Karo
Haye Matam Karo
Haye Hussaina
Haye Hussaina
Sar Majlis E Shabbir Mein Shabbir Ka Aaya
Har Bibi Ky Lab Py Thi Sada Haye Hussaina
Matam Ki Sadaon Mein Yeh Zainab Ny Sunaya
Ky Ay Mery Akhi Dekh Teri Farsh E Aza Hai
Matam Tera Is Majlis E Awwal Mein Bapa Hai
Haye Hum Lut Gaye
Haye Barbaad Huye
Haye Qaidi Baney
Haye Dar Dar Phiry
Haye Matam Karo
Haye Matam Karo
Haye Sakina
Haye Sakina
Lootey Huye Asbaab Mein Jo Cheezen Mili Thiin
Sadaat Sy Yeh Shaam E Ghareeban Mein Chini Thiin
Tar Khoon Mein Do Baalian Bhi Un Mein Rakhi Thiin
Ay Sarwar O Rehan Azadari E Sheh Ka
Tha Pehla Azakhana Saron Sy Jo Saja Tha