Reciter: Tejani Brothers

Ye matam, ye matam
Shabbir tera ye matam

Ta hashr rahenga jaari
Ta hashr rehega qayam

Ye matam, ye matam, Shabbir tera ye matam

Ye farshe aza ye giriya ye majlis matam nawha,
Ye ashko(n) ki barsaate ye khoon ka behta dariya
Hum karte rahe he payhum, hum karte rahege har dam

Ye matam, ye matam, Shabbir tera ye matam

Hum matam karne waale hum nawha parhne waale,
Beshak hai duwaaye zehra shabbir pa rone waale,
Ye ashk nahi hai waiz ye zakhmo(n) ka hai marhum

Ye matam, ye matam, Shabbir tera ye matam

Ay munkire matam sunle matam se na rakh bezaari
Zehra ki amanat hai ye kar tu bhi amanatdaari
Milta hai naseebo(n) se ye zehra ke gharane ka gham

Ye matam, ye matam, Shabbir tera ye matam

Zainab ne kiyaa ye matam jab shaam ke zindaano me,
Lagta tha qayamat aayi kuffar ke aywaano me,
Choda so baras guzre hai(n), matam na huwa abtak kam

Ye matam, ye matam, Shabbir tera ye matam

Kya mojiza ye matam hai, duniya ke har shehro(n) mei Hote hai juloos-o-Matam,
wo chaaho to bhi pehro(n) mei Har aik nafas rowega,
tujhko ye saara aalam

Ye matam, ye matam, Shabbir tera ye matam

Zanjeer ka ye matam hai sajaad ke zanjeero(n) ka,
Mitsakta nahi hai matam shabbir tere bacho(n) ka,
Marsakta nahi ye matam, gar mar bhi jayege hum

Ye matam, ye matam, Shabbir tera ye matam

Zehra ki tamana hai zainab ke liye pursa hai,
Na sirf azaa khano me ye aag pe bhi hota hai
Rehta hai saro(n) par apne, abbas ali ka parcham

Ye matam, ye matam, Shabbir tera ye matam

Shabbir tera ye matam naslo me rahega baqi,
“Rehan” ibadat hai ye maula ki matamdaari,
Hum matam hi karte ho, ay kaash nikal jaaye dam

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply