Reciter: Nadeem Sarwar
Shimr Say Boli Bali Sakina
Sar Na Dun Gi Main Apnay Padar Ka
Meray Jeenay Ka Hai Yeh Sahara
Sar Na Dun Gi Main Apnay Padar Ka
Reesh Mein Khoon E Athar Bhara Hai
Gard Say Rooh E Anwar Ata Hai
Apnay Ashkon Say Dho’on Gi Chehra
Sar Na Dun Gi Main Apnay Padar Ka
Ly Ky Baba Ka Kandhay Pay Lasha
Main Najaf Jaun Gi Baa Pyaada
Hai Kafan Kay Liye Mera Kurta
Sar Na Dun Gi Main Apnay Padar Ka
Main Bhi Soti Thi Seenay Pay Un Kay
Ab Yeh Sar Ho Ga Seenay Pay Meray
Jab Talak Bhi Rahun Gi Main Zinda
Sar Na Dun Gi Main Apnay Padar Ka
Nangay Paon Sar E Hashr Aa Kay
Ronay Walay Muhibbon Ko Apnay
Jab Talak Bakhshwa Lay Na Zehra
Sar Na Dun Gi Main Apnay Padar Ka
Sun Ky Bola Yeh Shimr E Sitamgar
Kon Hai Yeh Tera Gham Khuwar O Yawar
Kiun Yeh Kehti Hai Tu Ay Yateema
Sar Na Dun Gi Main Apnay Padar Ka
Ho Jo Koi Madad Ko Bula Lay
Mar Kar Durray Cheenun Ga Tujh Say
Kar Rahi Hai Abas Tu Yeh Daawa
Sar Na Dun Gi Main Apnay Padar Ka
Shah Ka Sar Tarhap Kar Pukara
Is Ko Behla Lay Zalim Khudara
Warna Keh Keh Ky Maray Ga Yeh Dukhiya
Sar Na Dun Gi Main Apnay Padar Ka
Boli Sooye Najaf Woh Phir Woh Murh Kar
Marta Hai Tamanchay Sitam Garr
Ab Madad Kijiye Aa Ky Dada
Sar Na Dun Gi Main Apnay Padar Ka
Aag Ghar Mein Lagi Kuch Na Boli
Bali Khainchi Gai Kuch Na Boli
Ab Nahi Zabt Ka Mujh Mein Yara
Sar Na Dun Gi Main Apnay Padar Ka
Boli Zainab Say Tab Dukh Ki Mari
Aap Bhi Yeh …. Den Phuphi Jee
Ab To Aa Jao Turbat Say Zehra
Sar Na Dun Gi Main Apnay Padar Ka
Mujh Ko Goudi Mein Aa Kar Chupao
Tazianay Say Aa Kar Bachao