Reciter: Farhan Ali Waris
Jab Zulfiqar Matame Asghar Mein Ro Chuki
Nanhi Si Qabr Khod Ky Khoon Baar Ho Chuki
Jab Zulfiqar Matame Asghar Mein Ro Chuki
Daolat Chupai Qabr Mein Umme Rubab Ki
Roi Lehad Mein Rooh Risalat Ma’aab Ki
Aai Sada Najaf Sy Yehi Bu Turab Ki
Bachy Ky Sath Bano Ki Qismat Bhi So Chuki
Jab Zulfiqar Matame Asghar Mein Ro Chuki
Bano Pacharh Khati Hain Khaimy Mein Bar Bar
Roty Hain Jab Hussain To Roti Hai Zulfiqar
Zainab Pukary Banooye Muztar Jigar Figaar
Kurta Lahu Bhara Hua Ashkon Sy Dho Chuki
Jab Zulfiqar Matame Asghar Mein Ro Chuki
Maidan E Karzaar Mein Asghar Ki Jang Thi
Har Dam Dua Sakina Ki Bhai Ky Sang Thi
Faoj E Adoo Bhi Dasht Mein Hairat Sy Dang Thi
Kis Ko Khabar Thi Maan Ali Asghar Ko Kho Chuki
Jab Zulfiqar Matame Asghar Mein Ro Chuki
Bali Sakina Dar Py Kharhi Kar Rahi Thi Bayn
Ay Bhai Tera Rasta Takty Hain Mery Nain
Tu Hi Karaar E Jan Hai Tu Hi Hai Dil Ka Chain
Ay Bhai Laot Aa Mery Ab Sham Ho Chuki
Jab Zulfiqar Matame Asghar Mein Ro Chuki
Tery Laho Sy Shah Ny Ran Mein Wazuu Kiya
Paish E Batool Tu Ny Mujhy Surkh Roo Kiya
Maan Ny Jigar Ky Zakhm Ko Aisy Rafuu Kiya
Daman Ko Apny Maan Teri Ro Kar Bhigo Chuki
Jab Zulfiqar Matame Asghar Mein Ro Chuki
Mazhar Pisar Ka Dagh Qayamat Sy Kam Nahi
Pathar Woh Dil Hai Jis Ki Yahan Ankh Nam Nahi
Kaisy Likhun Kalam Keh Razi Qalam Nahi
Bas Khatm Is Muqaam Py Roodad Ho Chuki
Jab Zulfiqar Matame Asghar Mein Ro Chuki