Reciter: Nadeem Sarwar
Sabr Kaisy Ho Rehan O Sarwar
Hum To Aye Hain Khud Sham Ho Kar
Aj Bhi Sham Dhalti Hai Jab Bhi
Ek Sada Kat’ti Hai Kalaija
Aao Baba Jan
Jaisey Pinjrey Mein Ho Koi Panchi
Aisy Zindaan Mein Hai Sakina
Kabhi Amman Ky Pehloo Mein Rona
Kabhi Bhaia Sy Apny Lipatna
Kabhi Takrana Deewar O Dar Sy
Kabhi Zindaan Ky Dar Par Yeh Kehna
Aao Baba Jan
Jaisey Pinjrey Mein Ho Koi Panchi
Aisy Zindaan Mein Hai Sakina
Aisy Chakrati Phirti Thi Bachi
Jaisey Pinjrey Mein Zakhmi Ho Panchi
Kaisy Taar E Qafas Torh Daly
Ho Rihai Ka Koi Qareena
Aao Baba Jan
Jaisey Pinjrey Mein Ho Koi Panchi
Aisy Zindaan Mein Hai Sakina
Maot Sy Pehly Aa Jao Baba
Yeh Sakina Py Ehsan Ho Ga
Bad Mery Na Baba Yeh Kehna
Main Ny Tum Ko Pukara Nahi Tha
Aao Baba Jan
Jaisey Pinjrey Mein Ho Koi Panchi
Aisy Zindaan Mein Hai Sakina
Ay Phuphi Ab Mera Dil Hai Kehta
Mujh Ko Mil Jaye Ga Mera Baba
Dadi Zehra Ki Mano Kahani
Mil Gaya Tha Sunaaran Ka Beta
Aao Baba Jan
Jaisey Pinjrey Mein Ho Koi Panchi
Aisy Zindaan Mein Hai Sakina
Ho Gai Khair Aaya Na Asghar
Woh To Mar Jata Zindaan Mein Ghut Kar
Kaisy Sota Andhairey Mein Bhaia
Qaid Ho Jata Zindaan Mein Jhoola
Aao Baba Jan
Jaisey Pinjrey Mein Ho Koi Panchi
Aisy Zindaan Mein Hai Sakina
Haye Khoon Mein Bhara Sar Jo Aaya
Bap Ky Sar Sy Beti Ny Poocha
Munh Py Munh Rakh Ky So Na Sakun Gi
Hai Kahan Mery Baba Ka Seena
Aao Baba Jan
Jaisey Pinjrey Mein Ho Koi Panchi
Aisy Zindaan Mein Hai Sakina
Sabr Kaisy Ho Rehan O Sarwar
Hum To Aye Hain Khud Sham Ho Kar
Aaj Bhi Sham Dhalti Hai Jab Bhi
Ek Sada Kat’ti Hai Kaleja
Aao Baba Jan
Jaisey Pinjrey Mein Ho Koi Panchi
Aisy Zindaan Mein Hai Sakina