Khairilamal

Jis Nay Ek Baar Tumhen Dil Say Pukara Abbas Lyrics Mola Abbas manqabat 2019 mir hasan mir

Reciter: Mir Hasan Mir
Recitation Type: Manqabat
Year: 2019

Urdu Manqabat Jis Nay Ek Baar Tumhen Dil Say Pukara Abbas Lyrics in Urdu and English recited by Mir Hasan Mir. A Mola Abbas Manqabat.

Jis Nay Ek Baar Tumhen Dil Say Pukara Abbas Mp3 Download

To download Jis Nay Ek Baar Tumhen Dil Say Pukara Abbas in mp3 format, please click on below image.

Jis Nay Ek Baar Tumhen Dil Say Pukara Abbas Lyrics in English

Jis Nay Ek Baar Tumhai Dil Say Pukara Abbas
Us Py Mushkil Nahi Aati Hai Dobara Abbas

Sirf Hasnain Nahi Bagh E Fidak Ke Waris
Us Mein Haq Rakha Hai Zahra Ny Tumhara Abbas

Jis Ny Aik Bar Tumhen Dil Say Pukara Abbas

Mehr E Zahra Mein Tha Is Wasty Maola Ki Qasam
Tu Ny Pani Ko Tamancha Nahi Mara Abbas

Jis Ny Aik Bar Tumhen Dil Say Pukara Abbas

Apni Nazron Ki Utari Hai Nazar Khud Mainy
Kar Ke Jee Bhar Ke Tere Dar Ka Nazara Abbas

Jis Ny Ek Baar Tumhen Dil Say Pukara Abbas

Adha Lashkar Teri Nazron Se Kata Dariya Par
Adha Lashkar Tery Rahwar Ny Mara Abbas

Jis Ny Aik Bar Tumhen Dil Say Pukara Abbas

Jo Bina Hathon Ke Karty Hain Hukoomat Sab Par
Ya Ali Bas Woh Khuda Hai Ya Tumhara Abbas

Jis Ny Aik Bar Tumhen Dil Say Pukara Abbas

Tera Asghar Jo Jawan Hota To Hota Bibi
Poory Ka Poora Ali Sary Ka Sara Abbas

Jis Ny Aik Bar Tumhen Dil Say Pukara Abbas

Jo Manga Sakti Hai Ek Lamhy Mein Jannat Se Libaas
Hath Se Us Ny Siya Kurta Tumhara Abbas

Jis Ny Aik Bar Tumhen Dil Say Pukara Abbas

Har Koi Ho Ga Wafadar Jahan Mein Sajjad
Gar Samajh Aa Gaya Duniya Ko Hamara Abbas

Jis Ny Aik Bar Tumhen Dil Say Pukara Abbas

Support us by sharing our content as much as you can.

Did you find what you were looking for? If not, try searching.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *