Reciter: Farhan Ali Waris

Hussain Hussain Hussain

Aao Ay Ahl E Jahan
Aao Ay Tifl O Jawan
Main Sunata Hun Tumhen
Aik Pyasay Ki Kahani
Muhammad Ky Nawasay Ki Kahani
Yani Karbala Ki Kahani

Ronay Walo Suno Pursa Daro Suno
Soag Waro Suno Matam Daro Suno

Aik Halqay Mein Aa Jao Matam Karen
Qarz Jo Hai Lahu Par Adaa Hum Karen

Ghar Muhammad Ka Kis Tarah Loota Gaya
Bas Isi Gham Mein Karna Hai Matam Bapa

Aanay Wali Har Ek Nasl Bayn Karay
Sari Duniya Hussain Hussain Karay

Meray Kam Sin Hussainiyo
Karbala Ki Kahani Suno

Karbala Ki Kahani Suno

Is Kahani Mein Zehra Ka Ghar Baar Hai
Un Ka Beta Jo Jannat Ka Sardar Hai
Markazi Is Kahani Ka Kirdaar Hai
Us Ka Ek Bhai Hai Jo Alamdar Hai
Tum Tasawwur Mein Maqtal Chalo

Karbala Ki Kahani Suno

Nusrat E Haq Ki Khatir Woh Ghar Say Chala
Do Muharram Ko Pahunchay Thay Karbobala
Maaon Behnon Ka Bachon Ka Bhi Sath Tha
Saatween Say Musafir Ko Pyasa Rakha
Is Museebat Ka Matam Karo

Karbala Ki Kahani Suno

Subhe Ashoor Aisi Ibadat Hui
Teer Chaltay Rahay Aur Jamaat Hui
Aik Ek Kar Ky Sab Ki Shahadat Hui
Asar Ka Waqt Aya Qayamat Hui
Apnay Hathon Say Dill Thaam Lo

Karbala Ki Kahani Suno

Us Taraf Lakhon Aur Thay Bahattar Idhar
Kat Gaye Ban Mein Tifl O Jawan Sab Ky Sar
Reh Gaya Ban Mein Tanha Ali Ka Pisar
Di Sada Sheh Nay Hal Min Ki Ba Chashm E Tar
Hal Min Nasirin Yansurana

Aur Phir Farzand E Zahra Akely Ho Gaye
Na Akbar Hain Na Qasim Hain
Na Abbas Hain Na Aon O Muhammad Hain
Na Koi Ansar Baqi Raha
Maqtal Mein Imam Hussain Sada Day Rahay Thay
Hal Min Nasirin Yansurana
Koi Hai Jo Meri Nusrat K Liye Aye

Sun Ky Istighasa E Shah E Karbala
Woh Jo Ek Bhai Sheh Ka Alamdar Tha
Us Ka Sahil Pay Lasha Tarhapnay Laga
Haye Hussain
Sheh Nay Hasrat Say Charon Taraf Ki Nazar
Haye Hussain
Koi Bhi To Nahi Tha Wahan
Haye Hussain
Al Gharaz Sheh Nay Lashkar Py Hamla Kiya
Hussain Hussain Hussain
Aur Rajaz Yeh Parha

Jang Ab Us Ki Daikho Zara Shamiyon
Jis Ka Koi Na Baqi Raha Shamiyon
Jis Kay Qasim Ko Tukrhay Kiya Shamiyon
Huye Aon O Muhammad Juda Shamiyon
Jis Ka Ansaar Ek Na Raha Shamiyon

Jis Ka Abbas Jaisa Baradar Gaya
Jis Kay Akbar Kay Seenay Mein Naiza Laga
Bey Zabaan Bhi Gaya
Aur Kuch Dair Mein
Surkh Dariya Ka Pani Hua
Aur Phir Atif E Ghaibi Ki Aai Sada

Ya Aiyatohan Nafs Ul Mutmainna
Irjiaa Ila Rabbik
Raziya Tan Marziya

Jab Imam Hussain As Nay Is Sada Ko Suna
To Phir Apni Talwar Ko Mayan Mein Rakh Liya
Aur Phir Aik Sada Buland Ki
Aao Ay Teero Aao Ay Talwaro
Aao Ay Patharo
Mujh Py Aa Barso
Bas Mola Ki Sada Buland Hui
Kahin Say Teer Chalay
Kahin Say Talwaren Chaleen
Kahin Say Pathar Barsay
Aur Meray Maula Hussain Lahu Lahaan Ho Gaye
Lakhon Ky Lashkar Mein Aisay Bhi Log Thay
Keh Jis Ky Hath Mein Jo Cheez Aai
Us Nay Imam Hussain As Py Barsana Shuru Kar Di
Tanha Ho Gaya Fatima Ka Lal
Tanha Ho Gaya Fatima Ka Lal

Choor Zakhmon Say Zehra Ka Lakht E Jigar
Gir Gaya Pusht E Rahwar Say Khak Par
Andhian Surkh Chalnay Lagiin
Aur Zameen Khoon Ugalnay Lagi
Kund Khanjar Chala Halq E Shabbir Par
Aik Teelay Pay Zainab Nay Ro Kar Kaha
Haye Hussain Haye Hussaina
Haye Hussain

Karbala Ki Kahani Suno

Baad Qatl E Shah E Deen Jafa Yun Hui
Ho Gaye Ban Mein Pamal Lashay Sabhi
Sar Sinaan Par Gaye Laash Ban Mein Rahi
Ban Mein Naqqaray Bajnay Lagay Us Gharhi
Is Masayeb Py Giriya Karo

Karbala Ki Kahani Suno

Din Dhal Gaya Aur Sham Aa Gai
Aa Gaye Lootnay Bibiyon Ko Shaqi
Saray Khaimay Jalay Sab Ki Chadar Chini
Tapta Sehra Tha Bas Aur Aal E Nabi
Aur Pehrey Py Bint E Ali Aa Gai
Rotay Rotay Yeh Shab Kaati Sadaat Nay
Subho Hotay Hi Sadaat Qaidi Banay
Ek Rasan Zulm Ki Aur Barah Galay
Taoq O Zanjeer Mein Mola Sajjad Thay
Janib E Sham Ahl E Haram Jab Chalay
Aik Ek Lash E Bay Sar Py Rotay Huye
Bayn Zainab Ky Thay Lash E Shabbir Py
Janib E Sham Jatay Hain Hum Sar Khulay
Meri Hasrat Hai Matam Tera Na Rukay
Aur Mazhar Teray Yeh Masayeb Likhay
Tera Farhan Teray Masayeb Parhay
Sari Duniya Teri Yeh Kahani Sunay
Anay Wali Har Ek Nasl Bayn Karay

Sari Duniya Hussain Hussain Karay

Kitna Taweel Hai Hussain Ka Safar
Aik Nasl Khatm Hoti Hai
Doosri Nasl Tyar Kharhi Hai
Socho To Aqal Hairan Hai
Aik Shakhs Kai Sadiyon Baad Bhi Dilon Par Hukmrani Kar Rahi Hai
Yeh Thi Karbala Ki Kahani
Yeh Thi Pyasay Ki Kahani
Muhammad Kay Nawasay Ki Kahani

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply