Reciter: Nadeem Sarwar

Labbaik ya hussain..

Jiye shah hussain,jiye shaah hussain.

zinda jaha’n mein taaba qayamat hai karbala
sadaat e karbala ki amanat hai karbala
duniya ke har ghareeb ki izzat hai karbala

Jiye shaah hussain, jiye shah hussain

Jannat e maa karbala, rooh e azaa karbala
noor e khuda karbala, baab e dua karbala
khaak e shifa karbala, ghum ki dawa karbala, jannat e maa karbala

jannat e maa karbala

Karbobala khoon e Mohammad se saji hai
Karbobala ishq e hussain ibn e ali hai
teri zamee’n mo’alla.

Karbala karbala masha’allah,
tu rahegi sadaa insha’allah

Mashallah mashallah karbala.

Aao chale karbala
ban ke safeer e azaa
sar pe ho parcham khula
ishq e azaa saath rahe
ashko ki barsaat rahe
haatho mein bus haath rahe
teri zamee’n mo’alla

nainawa nainawa mashallah
tu rahegi sadaa insha’allah

Mashallah mashallah karbala

Jiye shaah hussain, jiye shaah hussain
Jiye shaah, jiye shaah

Karbobala khaak thi
khaak ko izzat mili
khaak e shifa bangayi
aaye hussain ibn e ali
surat e gulzar saji
ghazi ki jageer bani
teri zamee’n mo’alla

marhaba marhaba mashallah
tu rahegi sadaa insha’allah

Mashallah mashallah karbala

Jiye shaah hussain, jiye shaah hussain
Jiye shaah, jiye shaah

Hum tere zawwar hain
tere azadaar hain
khadim e darbaar hain
nara e labbaik mera
matam e shahe shohada
lo mai chala karbobala
teri zamee’n mo’alla

shukriya shukriya mashallah
tu rahegi sadaa insha’allah

Mashallah mashallah karbala

Jiye shaah hussain, jiye shaah hussain
Jiye shaah, jiye shaah

Meri dawa karbala
meri shifa karbala
meri baqa karbala
daulat e maa karbobala
quwwat e maa karbobala
izzat e maa karbobala
teri zamee’n mo’alla

rehnuma rehnuma mashallah
tu rahegi sadaa insha’allah

Mashallah mashallah karbala

Jiye shaah hussain, jiye shaah hussain
Jiye shaah, jiye shaah

Aye shahe karbobala
koi nahi aap sa
ek hai bus karbala
sarwar o rehan chalo
leke ye armaan chalo
nazr kare jaan chalo
teri zamee’n mo’alla

Jaane maa jaane maa mashallah
tu rahegi sadaa insha’allah

Mashallah mashallah karbala

Zindabad karbala, zindabad ya hussain
Jiye shaah, jiye shaah

Beshak ali ke laal ki mehnat hai karbala
Zehra ke khandaan ki daulat hai karbala

jo bhi yaha’n hussain ka zawwar ban gaya
hurr bangaya koi, koi mukhtaar ban gaya

Karbobala sayebaa’, karbobala paasbaa’n, karbobala noor e jaa’n

saari zameeno ki maa

ishq o mohabbat ka nisha’n
farsh pe hai arsh jahaa’n
jannat e arzi ka samaa
dee’n panaah, sajda gaah, madresa, darsgaah, hal yazah, hal ataah

tu hai dayaar e hussain, mashallah mashallah
tu dil e zahra ka chayn, mashallah mashallah
rooh e dil e mashraqain, mashallah mashallah
tere liye har dua, inshallah inshallah
tere liye har sadaa, inshallah inshallah
jaari rahegi sadaa, inshallah inshallah

Karbala karabala

Hai hamari darsgaah, Karbala karabala
haq ka seedha raasta, Karbala karabala
Ibadato ka raabta, Karbala karabala
har ek hurr ki rahnuma, Karbala karabala
hussainiyat ka madrassa, Karbala karabala
Baqa e harf e laa ilaah, Karbala karabala
Hussain jiska baadshah, Karbala karabala
Hussain jiska baadshah, Karbala karabala
Hussain jiska baadshah, Karbala karabala

Labbaik ya hussain…

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply