Reciter: Farhan Ali Waris

Kash Main Doure Payamber Mein Uthaya Jata
Ba Khuda Qadmon Mein Sarkar Ky Paya Jata

Kash Main Doure Payamber Mein Uthaya Jata

Sath Sarkar Ky Ghazwat Mein Shamil Hota
Un Ki Nusrat Mein Lahu Mera Bahaya Jata

Kash Main Doure Payamber Mein Uthaya Jata

Rait Ky Zarron Mein Allah Badal Deta Mujhay
Phir Mujhay Raah E Muhammad Mein Bichaya Jata

Kash Main Dour E Payambar Mein Uthaya Jata

Khak Ho Jata Main Sarkar Kay Qadmon Ky Talay
Khak Ko Khak E Madina Mein Milaya Jata

Kash Main Daor E Payambar Mein Uthaya Jata

Mil Ky Sab Log Mujhay Matti Say Gaara Kartay
Phir Mujhay Masjid E Nabawi Mein Lagaya Jata

Kash Main Doure Payamber Mein Uthaya Jata

Kash Ay Kash

Kash Ay Kash Main Hota Koi Aisi Lakrhi
Jis Ko Sarkar Ky Minbar Mein Lagaya Jata

Kash Main Daor E Payambar Mein Uthaya Jata

Un Ky Rozay Kay Dar O Baam Sajanay Kay Liye
Rozanon Mein Meri Ankhon Ko Lagaya Jata

Kash Main Dour E Payambar Mein Uthaya Jata

Laya Jata Sar E Darbar Aseeron Ki Tarah
Hukm Par Un Ky Main Azad Karaya Jata

Kash Main Doure Payambar Mein Uthaya Jata

Ya Utarta Main Kisi Naat Ky Misray Ban Kar
Roo Baroo Un Ky Main Un Ko Hi Sunaya Jata

Kash Main Dour E Payamber Mein Uthaya Jata

Hotay Us Daour Ka Qissa Koi Noor O Farhan
Aaj Ky Daor Mein Bachon Ko Parhaya Jata

Kash Main Dour E Payambar Mein Uthaya Jata

Kash Main Daor E Payambar Mein Uthaya Jata
Ba Khuda Qadmon Mein Sarkar Ky Paya Jata

Kash Main Dour E Payambar Mein Uthaya Jata

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply